Wednesday, 6 November 2013

Barri Baytaab See Ghari Hai Tere Wissl Ki Shabb


Roman Urdu       رومن اردو

Barri Baytaab See Ghari Hai Tere Wissl Ki Shabb
Nain Se Nain Jo Lardi Hai Tere Wissl Ki Shabb

Palkein Jhapkaney Ki Mohlat Bhi Nahin Dee Tum Nay
Janey Kiss Tarah Sey Guzri Hai Tere Wissl Ki Shabb

Mein Nay Parwaney Kay Jalney Ki Sunni Thee Baatein
Aas Meri Bhi To Jalli Hai Tere Wissl Ki Shabb

Aarzoo Thee Tere Milney Ki Badi Muddat Se
Aik Pall Mein Bikhar Gai Hai Tere Wissl Ki Shab

Lahir Umeed Pe Chorey Thay Apni Naao Ko
Bhanwar e Ishq Mein Phansi Hai Tere Wissl Ki Shabb

Mein Muqeed Raha Zulfaan e Sanam Mein Aisey
Sazaye Qaid Jo Pai Hai Tere Wissl Ki Shabb

Abdul Mutlib Muqeed

Urdu            اردو

بڑی بے تاب سی گھڑی ہے تیرے وصل کی شب
نین سے نین جو لڑی ہے تیرے وصل کی شب

پلکیں جھپکانے کی مہلت بھی نہیں دی تم نے
جانے کس طرح سے گزری  ہے تیرے وصل کی شب

میں نے پروانے کے جلنے کی سنی تھی باتیں
آس میری بھی تو جلی ہے تیرے وصل کی شب

آرزو تھی تیرے ملنے کی بڑی مدت سے
ایک پل میں بکھر گئی ہے تیرے وصل کی شب

لہر امید پہ چھوڑے تھے اپنی ناؤ
بھنور ِ عشق میں پھنسی ہے تیرے وصل کی شب

میں مُقید رہا  زلفانِ صنم میں ایسے
سزائے قید جو پائی ہے تیرے وصل کی شب
عبدالمطلب مقید

No comments:

Post a Comment