Wednesday, 27 November 2013

Ehtesab e Zindagi Barishon Kay Mousam Mein


Roman Urdu      رومن اردو

Barishon Ke Mousam Mein
Khizan Ki Sard Raton Mein
Bheegi Bheegi Matti Ki
Halki Halki Khushbu Mein
Kaghazon ky Manind Phir
Paon Tallay Aa Kar
Kuchlay Janewaley Sab

Geeley Bikherey Patton Mein
Waqt Ke Sarabon Mein
Zeest Ke Nisabon Mein
Beetey Sarey Lamhon Ki
Unn Sabhi Kitabon Mein
Un Likhi Kahani Ki
Un Likhe Fasanon Mein
Mitney Wale Safhon Mein
Inn Adhoorey Lafzon Mein
Iss Udas Jeewan Kay
Ehtisab e Zindagi Mein
Uljhay Sab Sawalon Mein
Zindagi Ki Dairy Mein
Uss Ke Naam Se Likhey
Waqt Kay Hawalon Mein
Janey Kin Khialon Mein
Shaher Ki Udasi Mein
Raat Bhar Sannaton Mein
Uss Bicharey Raston Par
Aarzoo Liye Uss Ki
Dil Ka Safar Jari Hai

Syed Aqeel Shah

Urdu   اردو

بارشوں کے موسم میں
خزاں کی سرد راتوں میں
بھیگی بھیگی مٹی کی
ہلکی ہلکی خوشبو میں
کاغذوں کے مانند پھر
پاؤں کے تلے آ کر
کچلے جانے والے سب
گیلے پتوں میں
وقت کے سرابوں میں
زیست کے نصابوں میں
بیتے سارے لمحوں کی
اُن سبھی کتابوں میں
ان لکھی کہانی کی
ان لکھے فسانوں میں
مٹنے والے صفحوں میں
ان ادھورے لفظوں میں
اس اداس جیون کے
احتسابِ زندگی میں
اُلجھے سب سوالوں میں
زندگی کی ڈائری میں
اس کے نام سے لکھے
وقت کے حوالوں میں
جانے کن خیالوں میں
شہر کی اداسی میں
رات بھر سناٹوں میں
اس سے بچھڑے رستوں پر
آرزو لئے اس کی
دل کا سفر جاری ہے


سید عقیل شاہ

No comments:

Post a Comment