Roman Urdu رومن اردو
Bass Aik Terrey Khab Se Inkaar Nahin Hai
Dil Warna Kissi Shaey Ka Talbgar Nahin Hai
Aankhon Mein Haseen Khawab To Hain Aajbhee Lekin
Taabeer Sey Abb Koi Sar O Kaar Nahien Hai
Darya Se Abhi Takk Hai Wohi Rabtt Hamara
Kashti Mein Hamari Koi Patwar Nahien Hai
Hairat Se Naye Shaher Ko Mein Dekh Raha Hoon
Deewar To Hai, Sayae Deewar Nahein Hai
Iss Bazm Ki Rounq To Zarra Ghour Se Dekho
Lagta Hai Yahan Koi Dil Aazaar Nahin Hai
Aaye Ho Numaish Mein To Yeh Dhiyan Bhi Rakhna
Har Shaye Jo Chamkati Hai Chamkaar Nahin Hai
Kion Itna Hamein Apni Mohabbat Pay Yaqeen Hai
Duniya To Mohabbat Ki Talabgaar Nahin Hai
Urdu اردو
بس ایک ترے خواب سے انکار نہیں ہے
دل ورنہ کسی شے کا طلبگار نہیں ہے
آنکھوں میں حسیں خواب تو ہیں آج بھی لیکن
تعبیر سے اب کوئی سروکار نہیں ہے
دریا سے ابھی تک ہے وہی ربط ہمارا
کشتی میں ہماری کوئی پتوار نہیں ہے
حیرت سے نئے شہر کو میں دیکھ رہا ہوں
دیوار تو ہے سایہ دیوار نہیں ہے
اس بزم کی رونق تو ذرا غور سے دیکھو
لگتا ہے یہاں کوئی دل آزار نہیں ہے
آئے ہو نمائش میں تو یہ دھیان بھی رکھنا
ہر شے جو چمکتی ہے چمکدار نہیں ہے
کیوں اتنا ہمیں اپنی محبت پہ یقین ہے
دنیا تو محبت کی طلب گار نہیں ہے
No comments:
Post a Comment