Wednesday, 20 November 2013

Bay Rang Aor Rookhi See Merey Ishq Ki Tasveer


Roman Urdu   رومن اردو

Bay Rangg Aor Rokhi See Mere Ishq Ki Taveer Hai
Dukh Dard Aor Aansoon Bharri Shaid Meri Taqdeer Hai

Labgo Huey Mujh Se Keh Ponhcha Do Marasla Mera
Qaasid Bina Mahboob Ka Yeh Bhi Meri Taqdeer Hai
 Jaan e Jaan Tahreer Tha Aor Thaa Takhatib Ka Nishan
Jiss Nay Parhi Tahreer Who Samjha Meri Tehreer Hai

Khawab Mein Dekha Tha Ye Ke Wo Meri Banhon Mein Hai
Sach Hai Keh Ulti Nikalti Khawab Kiee Taabeer Hai

Zulmaton Kay Jhund Mein Haan Ekk Zulm Yeh Bhi Sahi
Dee Sadda Dar Par To Wo Kehney Lagey Faqeer Hai

Dard O Dil Mein Iss Tarah Kuchh Rishta Dari Ho Gai
Hans Rahey Hain Zakhm Aor Dil Dard Se Baghalgeer Hai

Mein Maqeed Khushi Hoon Gar Siyad Mera Mehboob Hai
Tab Qasf Mein Sans Lena Bhi Meri Tauqeer Hai

Abdul Mutlab Muqeed

Urdu   اردو

بے رنگ اور روکھی سی میرے عشق کی تصویر ہے
دکھ درد اور آنسوں بھری شاید میری تقدیر ہے

لب گو ہوئے مجھ سے کہ پہنچا دو مراسلہ میرا
قاصد بنا محبوب کا یہ بھی میری تقدیر ہے

جانِ جاں تحریر تھا اور تھا تخاطب کا نشاں
جس نے پرھی تحریر وہ سمجھا میری تحریر ہے

خواب میں دیکھا تھا یہ کہ وہ میری بانہوں میں ہے
سچ ہے کہ الٹی نکلتی خواب کی تعبیر ہے

ظلمتوں کے جھنڈ میں ہاں اک ظلم یہ بھی سہی
دی صدا در پر تو وہ کہنے لگے فقیر ہے

درد و دل میں اس طرح کچھ رشتہ داری ہو گئی
ہنس رہے ہیں زخم اور دل درد سے بغلگیر ہے

میں مقید خوش ہوں گر صیاد میرا محبوب ہے

تب قفس میں سانس لینا بھی میری توقیر ہے

عبدالمطلب مقید

No comments:

Post a Comment