Roman Urdu رومن اردو
Dil e Hazeen Ko Mohabbat K Jaal Mein Rakha
Terri Nazar Nay Hamein Aisi Chaal Mein Rakha
Khuda Ka Shukr Mein Sabit Qadm Rahi Har Damm
Mohabbaton Nay Mujhe Jiss Bhi Haal Mein Rakha
Mein Ehteram e Tamana Mein Sab Se Aagey Thee
Merrey Khuda Nay Mujhey Iss Kamal Mein Rakha
Na Pooch Kaisi Mehk Thee Wafa K Aangan Mein
Bass Aik Phool Thaa Khushbu K Thaal Mein Rakha
Mein Nay Socha Ussey Dikhaon Gee
Rah Giya Zakham Shaal Mein Rakha
Jiss Nay Ibrat Kaha Mohabbat Ko
Uss Nay Mjh Ko Missal Mein Rakha
Urdu اردو
دل حزیں کو محبت کے جال میں رکھا
تری نظر نے ہمیں ایسی چال میں رکھا
خدا کا شکر میں ثابت قدم رہی ہر دم
محبتوں نے مجھے جس بھی حال میں رکھا
نہ پوچھ کیسی مہک تھی وفا کے آنگن میں
بس ایک پھول تھا خوشبو کے تھال میں رکھا
میں نے سوچا اُسے دکھاؤں گی
رہ گیا زخم شال میں رکھا
جس نے عبرت کہا محبت کو
اُس نے مجھ کو مثال میں رکھا
No comments:
Post a Comment