Thursday, 28 November 2013

Dukh Boltey Hain


Roman Urdu      رومن اردو

Dukh Boltey Hain
Jabb Seeney Andar Saans Kay Darya Doltey Hain
Jabb Mousam Sard Hawa Mein
Chup See Gholtey Hain
Jab Aansoo
Palkein Roltey Hain

Jab Sab Aawazein Apney Apney Bistar Pay So Jati Hain
Tabb Ahista Ahista Aankhein Kholtey Hain
Dukh Boltey Hain

Farhat Abbas Shah

Urdu   اردو


دکھ بولتے ہیں

جب سینے اندر سانس کے دریا ڈولتے ہیں
جب موسم سرد ہوا میں
چپ سی گھولتے ہیں
جب آنسو
پلکیں رولتے ہیں
جب سب آوازیں اپنے اپنے بستر پہ سو جاتی ہیں
تب آہستہ آہستہ آنکھیں کھولتے ہیں
دکھ بولتے ہیں


فرحت عباس شاہ

No comments:

Post a Comment