Roman Urdu رومن اردو
Day Giya Kon Yeh Phir Zakham e Shanasai Mujhe
Dasht e Ghurbat Mein Bhi Chhorey Gee Na Ruswai Mujhe
Ajnabi Miltey Hain Rahon Mein Bichar Jatey Hain
Qafley Dard K De Jatey Hain Tanhai Mujhey
Umer Bharr Jagti Hain Aankhien Sitarey Gintey
Karni Parti Hai Siah Raton Ki Sehrai Mujhe
Seel e Toofan Kay Bhanwar Se Abhi Nikley Bhi Na They
Kahein Lay Doobey Na Phir Dil Ki Yeh Dariyai Mujhey
Garm Mousam Mein Rakhein Aag Ke Dil Par Phahey
Phoonk Daley Na Kahein Aisi Meesahai Mujhe
Urdu اردو
دے گیا کون یہ پھر زخمِ شناسائی مجھے
دشتِ غربت میں بھی چھوڑے گی نہ رسوائی مجھے
اجنبی ملتے ہیں راہوں میں بجھڑ جاتے ہیں
قافلے درد کے دے جاتے ہیں تنہائی مجھے
عمر بھر جاگتی ہیں آنکھیں ستارے گنتے
کرنی پڑتی ہے سیاہ راتوں کی صحرائی مجھے
سیلِ طوفاں کے بھنور سے ابھی نکلے بھی نہ تھے
کہیں لے ڈوبے نہ پھر دل کی یہ دریائی مجھے
گرم موسم میں رکھیں آگ کے دل پر پھاہے
پھونک ڈالے نہ کہیں ایسی مسیحائی مجھے
No comments:
Post a Comment