Sunday, 20 October 2013

Aankh Aankh Jabb Sehra Phailta Nazar Aaya


Roman Urdu       رومن اردو

Aankh Aankh Jabb Sehra Phailta Nazar Aaya
Zakhm Zakhm Khawabon Ka Silsila Nazar Aaya

Sabz Mousmon Kay Thay Muntazir Darr O Deewar
Raat Bhar Andhera Bhi Jagta Nazar Aaya


Pehley Apney Andar Jo Doob Kar Ubharta Thaa
Aaj Satah Chhoo Karr Hei Sochta Nazar Aaya

Wo K Jiss Ki Aankhon Mein Wehshton Ka Dera Hai
Besadda Jazeeron Mein Dhoondta Nazar Aaya

Chasham O Khab Ko Sajid Jism O Jaan Kehtey Hain
Ghour Se Jo Daikha To Fasla Nazar Aaya

Sajid Hameed

Urdu    اردو

آنکھ آنکھ جب صحرا پھیلتا نظر آیا
زخم زخم خوابوں کا سلسلہ نظر آیا

سبز موسموں کے تھے منتظر در و دیوار
رات بھر اندھیرا بھی جاگتا نظر آیا

پہلے اپنے اندر جو ڈوب کر ابھرتا تھا
آج سطح چھوکر ہی سوچتا نظر آیا

وہ کہ جس کی آنکھوں میں وحشتوں کا ڈیرا ہے
بے صدا جزیروں کو ڈھونڈتا نظر آیا

چشم و خواب کو ساجد جسم و جان کہتے ہیں
غور سے جو دیکھا تو فاصلہ نظر آیا

No comments:

Post a Comment