Sunday, 1 December 2013

Sab Qareeney Ussi Dildar K Rakh Detey Hain


Roman Urdu      رومن اردو

Sab Qareeney Ussi Dildar K Rakh Dete Hain
Hm Ghazal Mein Bhi Hunar Yaar K Rakh Dete Hain

Shaid Aa Jain Kabhi Chasham e Kharidar Mein Ham
Jaan O Dill Beech Bazaar Mein Rakh Dete Hain

Zikker e Jaanaan Mein Yeh Duniya Ko Kahan Lay Aaye
Log Kion Maslay Bekaar Kay Rakh Dete Hain

Zindagi Teri Amanat Hai Magar….Kia Kijiye
Log Ye Bojh Bhi Thak Haar K Rakh Dete Hain

Hum To Chahat Mein B Ghalib K Muqallad Hain Faraz
Jis Pe Martey Hain Ussey Maar K Rakh Dete Hain

Ahmed Faraz

Urdu   اردو

سب قرینے اُسی دلدار کے رکھ دیتے ہیں
ہم غزل میں بھی ہنر یار کے رکھ دیتے ہیں

شاید آ جائیں کبھی چشمِ خریدار میں ہم
جان و دل بیچ کے بازار میں رکھ دیتے ہیں

ذکرِ جاناں میں یہ دنیا کو کہاں لے آئے
لوگ کیوں مسئلے بیکار کے رکھ دیتے ہیں

زندگی تیری امانت ہے مگر۔۔۔۔۔۔۔۔کیا کیجیئے
لوگ یہ بوجھ بھی تھک ہار کے رکھ دیتے ہیں

ہم تو چاہت میں بھی غالب کے مقلد ہیں فراز
جس پر مرتے ہیں اُسے مار کے رکھ دیتے ہیں


احمد فراز

No comments:

Post a Comment