Showing posts with label Naveed Qamar. Show all posts
Showing posts with label Naveed Qamar. Show all posts

Wednesday, 10 April 2013

Mein Pehley To Koi Tasveer

Mein Pehley To Koi Tasveer Kaghaz Pr Banata Hoon
Phir Ekk Tasveer Iss Tasveer K Andar Banata Hoon

Bahot Se Khawab Pehley Tod Leta Hoon Hathaili Par
Phir In Ko Daikh Kr Chehrey Pe Chashm e Tar Banata Hoon


Zarra In Hijraton Ki Qaid Se Aazad Ho Jaon
Phirr Aa K Daikhna Yaro Mein Kaisa Gharr Banata Hoon

Kahan Se Aaye Gee Masroofiat Berozgari Mein
Younhi Bekar Baitha Zehn Mein Daftar Banata Hoon

Aor Ab To Iss Qadar Khaif Hoon Bedastak Kawaron Se
K Mein Jab Bhi Banaon Khana e Bedar Banata Hoon

Naveed Raza

Puraney Khawab Kee Taabeer


Puraney Khawab Ki Ta'abir Banti Jati Hai
Ye Khamshi Meri Taqreer Banti Jati Hai

Gaye Dinon Pe Bas Ekk Nigah Dalta Hai
Nazar K Samney Tasveer Banti Jati Hai


Kuch Aor Uss Ko Barha Lain K Ye Shikast O Reekht
Hamari Khoobi e Tabeer Banti Jati Hai

Abb Aisa Lagta Hai Jaise Teri Muhabbat Bhi
Hamarey Paon Ki Zanjeer Banti Jati Hai

Naveed Raza