Monday 30 September 2013

Sunday 29 September 2013

Rahi Na Taaqat-E-Guftaar Aur Agar

Rahi Na Taaqat-E-Guftaar Aur Agar Ho Bhi,
To Kis Umeed Pe Kahiye K Arzoo Kya Hai...

Rahi Na Taaqat-E-Guftaar

Ghum-E-Hayaat Ka Jhagra Mita Raha

Ghum-E-Hayaat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi
Chalay Aao K Duniya Se Ja Raha Hai Koi

Koi Azal Se Keh Do K Ruk Jaye Do Ghari
Suna Hai Aanay Ka Wada Nibha Raha Hai Koi

Wo Is Naaz Se Baithay Hain Lash K Paas
Jese Roothy Hue Ko Mana Raha Hai Koi

Palat Kar Na Aa Jaye Phir Sans Nabzon Main
Itne Haseen Hathon Se Maiyat Saja Raha Hai Koi...

Ghum-E-Hayaat Ka Jhagra

Tum Se Mumkin Ho To Rok Do Saansain

Tum Se Mumkin Ho To Rok Do Saansain Meri,
Jaana Dil Jo Dharky Ga To Yaad Tum Aoge...

Tum Se Mumkin Ho To Rok

Hai Aashaqi Me Rasm Alag Sab Se Bethna

Hai Aashaqi Me Rasm Alag Sab Se Bethna,
But Khana Bhi, Haram Bhi, Kaleesa Bhi Chor Day...

Soda_Gari Nahi Yeh iBadat Khuda Ki Hai,
Aye Be_Khabar! Jaza Ki Tamanna Bhi Chor Day...

Allama Iqbal Designed Poetry

Wo Shakhs Jo Sab Se Aziz Tha Mujhe

Wo Shakhs Jo Sab Se Aziz Tha Mujhe.
Wo Bhi Mujhe Tanha Chor Gaya Yeh Keh K,
Tu Gham Ka Samander Hai,
Kahin Mein Bhi Is Mein Doob Na Jaon......

by: Fatima Khan


Saturday 28 September 2013

Janab-E-Ishaq Karte Hain Karam Kuch

Janab-E-Ishaq Karte Hain Karam Kuch Khaas Logon Pr,
Her Insaan K Muqaddar Main Ruswai Nahi Hoti...

Janab-E-Ishaq Karte Hain

Safar-E-Zeest Main Tere Saath Ki Khatir

Safar-E-Zeest Main Tere Saath Ki Khatir Jaana,
Un Manzilon Ko Bhi Chora Hai Jo Mera Muqaddar Thin...

Safar-E-Zeest Main Tere

Kya Zaruri Hai K Hathon Main Tera Hath

Kya Zaruri Hai K Hathon Main Tera Hath Bhi Ho,
Chand Yaadon Ki Rafaaqat Hi Bohat Hoti Hai...

Kya Zaruri Hai K Hathon

Hum Ne Her Dukh Ko Muhabbat Ki Anaayat

Hum Ne Her Dukh Ko Muhabbat Ki Anaayat Samjha,
Hum Koi Tum The K Tum Se Shikayat Karte...

Hum Ne Her Dukh Ko Muhabbat

Friday 27 September 2013

Wajah Jo Dhoondo Gay

Roman Urdu   رومن اردو

Wajah Jo Dhoondo Gay To Saddian Beet Jaingee
Kaha Naa Yaadd Aatey Ho, To Bass Yaadd Aatey Ho

Urdu   اردو

وجہ جو ڈھونڈو گے تو صدیاں بیت جائیں گی
کہا نہ یاد آتے ہو تو بس یاد آتے ہو

Tumhein Jo Daikh Le


Roman Urdu   رومن اردو

Tumhein Jo Daikh Le_y Phirr Kiya Woh Mehv e Hoor e Jannat Ho
Qayamat Go Kay Barhaq Hai Maggar Tum Bhi Qayamat Ho

Urdu   اردو

تمہیں جو دیکھ لے پھر کیا وہ محو حور جنت ہو
قیامت گو کہ برحق ہے مگر تم بھی قیامت ہو

Ek Arsaa Ho Gaya Hai Usy Badly Hue

Ek Arsaa Ho Gaya Hai Usy Badly Hue Magar,
Is Zindagi Se Us Shakhs Ka Hawala Nahi Gaya...

Ek Arsaa Ho Gaya Hai

Tum Mujhe Chod Kar

 Roman Urdu   رومن اردو

Tum Mujhe_y Chod Karr, Thukkra Kar, Jaa Bhi Saktey Ho
Terey Hathon Mein Meraa Hathh Hai Zanjeer Nahien

Urdu    اردو

تم مجھےچھوڑ کر، ٹھکرا کر، جا بھی سکتے ہو
تیرے ہاتھوں میںمیرا ہاتھ ہے زنجیر نہیں

Milta Bhi Nahi Tumhare Jesa Koi Or Is Sheher

Milta Bhi Nahi Tumhare Jesa Koi Or Is Sheher Me,
Humen Kya Maloom Tha, Tum Ek Ho Wo Bhi Kisi Aur K...

Milta Bhi Nahi Tumhare Jesa Koi

Jis Shakhs Ki Muhabbat Ka Mehwar

Jis Shakhs Ki Muhabbat Ka Mehwar Koi Aur Ho,
Hum Us Shakhs Se Wafa Ka Taqaaza Nahi Karte...

Jis Shakhs Ki Muhabbat Ka

Tamanna Wo Tamanna Ho Jo Dil Ki Dil

Tamanna Wo Tamanna Ho Jo Dil Ki Dil Main Reh Jaye,
Jo Marr Kr Bhi Na Poory Hon, Unhe Armaan Kehte Hain...

Tamanna Wo Tamanna Ho

Thursday 26 September 2013

Matt Pooch Kese Guzarta Hai Her Pal

Matt Pooch Kese Guzarta Hai Her Pal Tere Bin,
Kabhi Bat Karne Ki Hasrat, Kabhi Dekhne Ki Tamanna...

Matt Pooch Kese Guzarta Hai

Tu Shayari K Her Hunar Se Waqif

Tu Shayari K Her Hunar Se Waqif Hai,
Main Harf Harf Zakham, Tu Tehreer Kr Mujhe...

Tu Shayari K Her Hunar

Usy Kehna Kitaabon Main Rakhe Sookhy Hue

Usy Kehna Kitaabon Main Rakhe Sookhy Hue Kuch Phool,
Us K Laut Any Ka Yaqeen Ab Tak Dilaaty Hain...

Usy Kehna Kitaabon Main Rakhe

Mujhe Khud Ki Nahi Koi Khabar

Mujhe Khud Ki Nahi Koi Khabar,
Teri Aarzu Kya Karoon?
Mein To Khud Hun Aik Be_Makeen,
Teri Justuju Kya Karoon?

by: Saba

Wednesday 25 September 2013

Tuesday 24 September 2013

Dil Main Basa Rakha Kabhi Ankhon Se

Dil Main Basa Rakha Kabhi Ankhon Se Beh Gaya,
Aye Dard-E-Yaar, Tere Thikaany Ajeeb Hain...

Dil Main Basa Rakha Kabhi Ankhon Se Beh Gaya

Ehsaas-E-Muhabbat Ki Mithaas Se Mujhe

Ehsaas-E-Muhabbat Ki Mithaas Se Mujhe Agaah Na Kr,
Ye Wo Zeher Hai Jo Me Pehle Bhi Pi Chuka Hun...

Ehsaas-E-Muhabbat Ki Mithaas

Tujhse Karte Hain Mulaqaat Simatny K

Tujhse Karte Hain Mulaqaat Simatny K Liye,
Tujhse Milte Hain To Kuch Aur Bikhar Jate Hain...

Tujhse Karte Hain Mulaqaat

Meri Rooh Ko Tanhai Ki Zanjeer

Meri Rooh Ko Tanhai Ki Zanjeer Pehna Kr,
Wo Mere Paas To Hota Hai Pr Mera Nahi Hota...

Meri Rooh Ko Tanhai Ki

Ishq Karo To Us K Adab-E-Wafa Bhi

Ishq Karo To Us K Adab-E-Wafa Bhi Seekho,
Ye Farigh Waqat Ki Be-Qarari Mohabbat Nahi Hoti...

Ishq Karo To Us K Adab-E-Wafa Bhi Seekho

Monday 23 September 2013

Nigaahen Bolti Hain Be-Tahaasha

Nigaahen Bolti Hain Be-Tahaasha,
Muhabbat Pagalon Ki Guftagu Hai..

Nigaahen Bolti Hain Be-Tahaasha

Samjh Nahi Aati Wafa Karen To Kis Se

Samjh Nahi Aati Wafa Karen To Kis Se Karen,
Matti K Bany Ye Log Kaghaz K Tukron Pe Bik Jate Hain...

Samjh Nahi Aati Wafa Karen To

Bary Zor-O-Shor Se Chal Raha Hai Kaar-O-Baar

Bary Zor-O-Shor Se Chal Raha Hai Kaar-O-Baar-E-Muhabbat,
Kahin Chaahaten Bik Rahi Hain Kahin Log Badal Rahe Hain...

Bary Zor-O-Shor Se Chal Raha

Mujhe Tum Se Mohabbat Hai Ab Bhi

Mujhe Tum Se Mohabbat Hai Ab Bhi Had-E-Intihaa Tak,
Mujhe Bayaan Karna Nahi Ata Aur Samjhna Tumhare Bus Ki Bat Nahi...

Mujhe Tum Se Mohabbat Hai Ab Bhi Had-E-Intihaa Tak

Sunday 22 September 2013

Wohi Apni Tarz-E-Wafa Rahi Wohi Unki Mashq

Wohi Apni Tarz-E-Wafa Rahi, Wohi Unki Mashq-E-Jafa Rahi,
Wo Zulm Karte Hain Is Tarha, Jese Mera Koi Khuda Nahi...

Wohi Apni Tarz-E-Wafa Rahi, Wohi Unki Mashq-E-Jafa Rahi

Jaany Kis Umar Main Jaegi Ya Aadat

Jaany Kis Umar Main Jaegi Ye Aadat Apni,
Roothna Us Se To Auron Se Ulajhte Rehna...

Jaany Kis Umar Main Jaegi

Thak Kr Girti Hai Zindagi To Khayal

Thak Kr Girti Hai Zindagi To Khayal Aata Hai,
Jaan Leva Hai La-Hasil Ki Tamanna Karna...

Thak Kr Girti Hai Zindagi To

Saath Rehte Hain Mere Sab Magar Matlab

Saath Rehte Hain Mere Sab Magar Matlab Ki Hadon Tak,
Kahin Taktaa Hun To Tanha, Kahin Ruktaa Hun To Tanha...

Saath Rehte Hain Mere Sab Magar Matlab Ki Hadon Tak

Hum Ne Aghosh-E-Mohabbat Se Ye Seekha

Hum Ne Aghosh-E-Mohabbat Se Ye Seekha Hai Sabaq,
Jis Ne Zinda Nahi Rehna Wo Muhabbat Kr Le...

Hum Ne Aghosh-E-Mohabbat Se Ye

Kya Mila Muhabbat Se Khawab Ki Masaafat

Kya Mila Muhabbat Se,

Khawab Ki Masaafat Se,

Wasal Ki Tamaazat Se,

Roz-O-Shub Riyaazat Se,

Kya Mila Muhabbat Se,

Ek Hijar Ka Sehra,

Ek Shaam Yaadon Ki,

Ek Thaka Hua Aansu...

Kya Mila Muhabbat Se

Nazar Se Door Reh Kar Bhi Kisi Ki Soch

Nazar Se Door Reh Kar Bhi Kisi Ki Soch Main Rehna,
Kisi K Paas Rehne Ka, Tareeqa Ho To Tum Sa Ho...

Nazar Se Door Reh Kar Bhi Kisi Ki Soch Main Rehna

Ghazab Ki Hain Farmaishen Is Dil-E-Nadaan

Ghazab Ki Hain Farmaishen Is Dil-E-Nadaan Ki,
Wo Hote, Hum Hote Aur Honton Pe Hont Hote...

Sapurd-E-Khaak Kr Dala Teri Aankhon Ki

Sapurd-E-Khaak Kr Dala Teri Aankhon Ki Masti Ne,
Hazaaron Saal Jee Lete Agar Tera Deedar Na Hota...

Sapurd-E-Khaak Kr Dala Teri Aankhon Ki Masti Ne

Saturday 21 September 2013

Khamosh Reh, Tanha Baith, Yaad Kr

Khamosh Reh, Tanha Baith, Yaad Kr Usko,
Tu Ne Ishq Kia Hai, Gunah Chota Nahi Tera...

Khamosh Reh Tanha Baith

Wohi Wehshat, Wohi Hairat, Wohi

Wohi Wehshat, Wohi Hairat, Wohi Tanhai Hai,
Teri Aankhain Mere Khawabon Se Kitni Milti Julti Hain...

Wohi Wehshat, Wohi Hairat, Wohi Tanhai Hai

Muddat Se Jis K Waasty Dil Be-Qarar

Muddat Se Jis K Waasty Dil Be-Qarar Tha

Wo Laut Kr Na Aaya Magar Intizaar Tha

Jo Hum-Safar Tha Chor Gaya Raah Main Mujhe

Main Phans Gaya Bhanwar Main Aur Wo Dariyaa K Paar Tha

Manzil Qareeb Aai To Tum Door Ho Gaye

Itna To Tum Batao K Ye Kesa Pyar Tha?

Dewaar Ye Bana Di Kis Ne Dono K Darmiyaan

Na Wo Sukoon Se Betha Na Mujh Ko Qarar Tha

Ye Baat Umar Bhar Samajh Na Paaya Main

Kiun Dil Mera Us Be-Wafa Ka Talab-gaar Tha...

Muddat Se Jis K Waasty Dil Be-Qarar Tha

Friday 20 September 2013

Baahir Se To Ronaq Aaj Bhi Wohi

Baahir Se To Ronaq Aaj Bhi Wohi Hai,
Is Ishq Ne Andar Se Jalaaya Hai Bohat Kuch...

Baahir Se To Ronaq Aaj Bhi Wohi Hai

Akele-Pan Ka Safar Jab Mera Muqaddar

Akele-Pan Ka Safar Jab Mera Muqaddar Hai,
To Phir Aye Waada-Shikan Tera Intizar Bhi Kiun...

Akele-Pan Ka Safar Jab Mera Muqaddar Hai

Meri Chahat K Takazay Na Nibhany Waly

Meri Chahat K Takazay Na Nibhany Waly,

Kitne Be-Dard Hain Ye Log Zamanay Waly,

Koi Apna Nahi Matlab Ki Hai Duniya Saari,

Ab Kahan Milte Hain Wo Dost Purany Waly,

Main Dua-Go Hun Sada Neenden Hon Mubarak Tujh Ko,

Hijar Ka Dard Mujhe De k Jagany Waly,

Bus Yehi Soch K Hr Baar Manaata Hun Tujhe,

Loat k Aaty Nahi Rooth K Jane Waly,

Hamary Seeny Main Kabhi Jhaank K Dekho To Sahi,

Kitne Afsurda Hain Hum Auron Ko Hansany Waly...

Meri Chahat K Takazay Na Nibhany Waly

Qasmon Ko Torny Ki To Niyat Na Thi

Qasmon Ko Torny Ki To Niyat Na Thi Magar,
Zulfon Ko Rukh Pe Dekh Kr Niyyat Badal Gai...

Qasmon Ko Torny Ki To Niyat Na Thi Magar

Paighaam-E-Shoq Ko Itna Taveel Matt

Paighaam-E-Shoq Ko Itna Taveel Matt Karna Qaasid,
Bus Mukhtasir Un Se Kehna K Ankhain Taras Gai Hain...

Paighaam-E-Shoq Ko Itna Taveel Matt Karna