Wednesday 31 July 2013

Mere Walid Tera Shukriya

meray walid Tera shukria poet raja kashif janjua (urdu)

Mere Walid Tera Shukriya,
Jo zindagi ka inaam hai
Sab tera hi muqaam hai
Har soch
Teri soch hai
Har raah
Teri raah hai
Mein bhatak jata
Raah kia pata
Tu ne samjhaya
Tu ne batlaya
Tu ne socha bhala
To phir rasta khula
Mere aqeedton ke aansu qabool kar
Meri hare k khata bhool kar
Mujhe apne galay se laga
Meri manzilon ka pata bata
Mera zehan
Teri soch se munawar hai
Har rasta
Manzilon ki aurh behay
Agarcha ilfaaz nahi
Koi aaghaz nahi
Phir bhi
Mere walid
Tera shukriya
Tu ne socha yehi
Tu ne chaha yehi
‘Janjua’ Jahan jahan paye
Rahatoon ke samaan paye

Monday 29 July 2013

Faqat Batain Andheron Ki Mehan Qissay Ujaalon Ke

Faqat Batain Andheron Ki Mehan Qissay Ujaalon Ke,
Chiragh-e-Aarzu Lay Kar Na Tum Nikle, Na Hum Nikle…

Andhera Chiraag shayari

Kuch Khwab Hain Jin Ko Likhna Hai

Kuch Khwab Hain Jin Ko Likhna Hai,
Tabeer Ki Soorat Deni Hai
Kuch Loog Hain Ujray Dil Walay
Jinhein Apni Mohabbat Deni Hai
Kuch Phool Hain Jin Ko Chunna Hai
Aur Haar Ki Soorat Deni Hai
Jinhein Bantna Hai Kuch Logon Mein
Un Ko Bhi To Rahat Deni Hai
Aye Umer_Rawan!
Aahista Chal..
Abhi Khasa Qarz Chukana Hai....

Kuch Khwab Hain Jinko

Wednesday 24 July 2013

Ye Sharab Shoq Hai Meri Adat Nahi

Ye Sharab Shoq Hai Meri Adat Nahi,
Ye Jazbat Jagati Hai Tabhi Peeta Hun,
Aadhi Raat Ke Waqt Mein Pagal To Nahi,
Teri Yaad Satati Hai Tabhi Peeta Hun,
Iss Jaam Mein Fazeelat To Koi Nahi,
Ye Fikar Mitai Hai Tabhi Peeta Hun
Mein Janta HUn Mujhe Kuch Nahi Milna Is Se....
Yeh Meri Umer Ghatati Hai Tabhi Peeta Hun......

By: Fida Hussain

Chiryon Se Kaho Apne Nasheman Se Na Nikle

Chiryon Se Kaho Apne Nasheman Se Na Nikle,
Is Daur Ka Har Shakhs Uqaabon Ki Tarha Hai….

pathetic-humans

Bicher Bhi Jaon, Mein Tum Se To Udaas Mat Hona

Bicher Bhi Jaon, Mein Tum Se To
Udaas Mat Hona
Mein Tumhari Soch Ke Jazbon Mein
Bas Jaon Ga
Tum Jab Bhi Kisi Ko Socho Gi
To Sirf Mein Hi Tumhein Yaad Aaon Ga...

Soch-Yaad-Shayari

Tuesday 23 July 2013

Haseen Aankhon Ko Parhney Ka Abhi Tak Shoq Hai Mujhko

Haseen Aankhon Ko Parhney Ka Abhi Tak Shoq Hai Mujhko
Mohabbat Mein Ujar Kar Bhi Meri Aadat Nahi Badli....

by: Fidha Qureshi

Thursday 18 July 2013

Husn Walon Ko Kiya Zaroorat Hai Sanwarne Ki

Husn Walon Ko Kiya Zaroorat Hai Sanwarne Ki 'Fidha',
Woh To Saadgi Me Bhi Qiyamat Ki Ada Rakhte Hain....!

By: Fidha Qureshi

Tuesday 16 July 2013

Sunday 14 July 2013

Ye Lamhon Ki Nahi, Sadiyon Ki Musafat Hai

Ye Lamhon Ki Nahi, Sadiyon Ki Musafat Hai,
Kisi Ki Yaad Ka Sehrra, Mohabbat Hamsafr Meri,
Wohi Har Waqt Sochon Par Kisi Ki Yaad Ka Pehra,
Wohi Din Raat Ka Jalna, Mohabbat Hamsafr Meri…..

sad poetry sad poetry

Wednesday 10 July 2013

Ishq Bhi Chaand


Ishq Bhi Chaand Ki Maanind Hai
Jab Poora Ho Jaye, Ghatney Lagta hai

Hamarey Intekhab Ka Meeyar


Hamaray Intekhaab Ka Meayaar Kuchh Bhi Ho
Hum Jissey Chahein Gay, Ussey Bemisaal Kar Dein Gey

Aor To Kuchh Nahi Kiya


Aor To Kuchh Nahi Kiya Tere Baad Hum Ne
Haan ! Faqat Apna Haal Tabah Kar Rakha Hai

Ajeeb Zindagi Ki Karam Nawazi Hai


Ajeeb Zindagi Ki Karam Nawazi Hai Mujh Par
Ekk Piyar Anookha, Ekk Yaar Anookha

Abhi Sazish Ka Mousam Hai


Abhi Sazish Ka Mousam Hai Abhi Tum Ishq Mat Karna
Yahan Aandhi Ka Charcha Hai Abhi Tum Rait Jaise Ho

Ishq Kay Nashay Mein Doobey To


Ishq Kay Nashay Mein Doobey To Ye Jana Hum Ne Faraz
Ke Dard Mein Tanhai Nahi Hoti, Tanhai Mein Dard Hota Hai

Ab Kis Kis Ki Missal Doon


Ab Kis Kis Ki Missal Doon Tumko
Har Sitam Be Missal Karte Ho

Monday 8 July 2013

Ishq Qaatil Se Bhi


Ishq Qaatil Se Bhi, Maqtool Se Hamdardi Bhi
Yeh Batta Kis Se Muhabbat Ki Jaza Mangey Gaa?

Sajda Khaliq Ko Bhi, Iblees Se Yarana Bhi
Hashar Mein Kis Se Aaqeedat ka Silla Mangey Gaa?

Ishq Per Muqadma Kar Ke


Ishq Per Muqadmma Kar K Kiya Milley Gaa
Janab e Hussan Ko Pakro, Yahi Fassad Ki Jarr Hai

Is Ki Takmeel Ho Nahi Sakti


Is Ki Takmeel Ho Nahi Sakti
Ishq Mein Ekk Hi Burai Hai

Rishwat Bhi Nahi Leta


Rishwat Bhi Nahi Leta Kambakht Jaan Chhorney Ki
Yeh Ishq Mujhe Bahot Emandaar Lagta Hai..

Friday 5 July 2013

A Night Thought by William Wordsworth

Lo! where the Moon along the sky
Sails with her happy destiny;
Oft is she hid from mortal eye
Or dimly seen,
But when the clouds asunder fly
How bright her mien!
Far different we--a froward race,
Thousands though rich in Fortune's grace
With cherished sullenness of pace
Their way pursue,
Ingrates who wear a smileless face
The whole year through.
If kindred humours e'er would make
My spirit droop for drooping's sake,
From Fancy following in thy wake,
Bright ship of heaven!
A counter impulse let me take
And be forgiven.   
by - William Wordsworth

Thursday 4 July 2013

Roz Aamil Badlta Hoon


Roz Aamil Badlta Hoon
Par Tera Aaseb Nahi Jata

Mujhe Bhi Kho Diya Tum Ne


Faqat Mein Hi To Thee Jis Ne
Tumharey Sarey Zakhmon Ko
Chhuwa Thaa Apney Honton Se
Wo Mein Thee

Jis Ney Palkon K Qalm Se Baraha Janan!
Tumhari Bolti Aankhon Pe Lakhon Sher Likhey They
Tumhare Dill Ki Dharti Par
Wafaon K Hazaron Aks Rakhey Thay
Batao Kiss Ne Tum Ko Zindagi De Karr
Eviz Mein Mout Chahi Thie
Magar Ye Kiya Kiya Tum Ne?
Mujhe Bhi Kho Diya Tum Ne