Friday 22 February 2013

Tarrap Kar Jab Kaha Dill Nay


Tadap Kar Jab Kaha Dil Nay K Pehlu Se Nikaltey Hain
To Jaan e Natwan Boli K Chaliye Hum Bhi Chaltey Hain

Mazza Jab Hai K Aa Jaye Kahein Unki Tabiat Bhi
Zarra Wo Bhi To Janein, Kion Kar Karwat Badltey Hain


Janon K Josh Mein Daman Geraiban Se Ye Kehta Hai
K Daikhein Tum Nikltey Ho K Hum Pehley Nikaltey Hain

Hameen Nay De K Dil Chalein Sikhain Dilrubai Ki
Khuda Ki Shaan Ye But Ab Hameen Se Chaal Chaltey Hain

Jalil Ahbab Ki Farmaishon Se Naak Mein Dam Hai
Samjh Rakha Hai Sb Nay, Shair Bhi Sanchey Mein Dhaltey Hain

Shaam Jaisy Shaira


Woh Salooni, Surmayi Si Shaam Jaisi Shaira
Jiss Ki Aankhon Mein Sadda Jugnu Larztay
Muskurate Gungunatey Se Jaggay
Wo Sahaili Thee Ghazal Ki, Shairi Jaisi Laggay

Jiss K Lafzon Mein Thee Matti Ki Mahek, Phoolon Ka Rang
Kuch Adhooray Khawab, Palkon Ki Mandairon Pr Jalla Kar So Gai
Goiya, Wo Andhair Nagari Ki Kiran Thi, Kho Gaiye
Janya Kion Uss Nay Bahot Hi Door
Ekk Tanha Jazeerey Ko Chunna
Wo Jazeera, Jis Ki Janib Jo Giya Uss Ka Hua
Woh Salooni, Surmayi Si Shaam Jaisi Shaira

Fakhira Batool

Sacha Piyar


Kissi Nay Kaha Phool Se Mujh Ko Tu Yeh Batta...
Aaj Tak Too Kion Khilta Raha..?
Tu Nay Di Sb Ko Khushbu
Tum Ko Kiya Milta Raha..?

Phool Nay Kaha Aaye Dost Abhi Tu Nadan Hai
Piyar K Sachay Jeewan SE Abhi Anjaan Hai
Laney K Badlay Kuch Day Daina
Ye To Karobar Hai...
Jo Kuch Na Lay K Sb Kuch Day
Yahi Sacha Piyar Hai...

Wednesday 13 February 2013

Zindagi Mein Jabb.....


Zindagi Mein Jab....

Guzarey Dinon Ka Shaiba Bhin Nahin
To Dill Mein Malal Kiya Ho Ga

Kitab e Zeesat To Khulli Pari Hai
Ab Ye Socho Sawal Kiya Ho Ga

Jo Sirf Aankhon Se Baat Karna Chahta Hai
Bhalla Ussa Ka Lehja Nidhal Kiya Ho Ga

Zakhmon Se Labraez Badan Par
Nia Gham e Wabal Kiya Ho Ga

Jo Muhabbaton Ko Khul K G Liya Ho
Zarra Batao Wo Jamal Kiya Ho Ga

Jab Yaqeen Ka Mousam Na Ruk Saka Pall Bhar
Wo Ishq e Lazawal Kiya Ho Ga

Ainee Shah

Thakka Giya Hai Moosalsal Safar


Thakka Giya Hai Musalsal Safar Udasi Kaa
Aor Abb B Hai Mere Shaney Pe Sar Udasi Kaa

Wo Kon Keemiya Garr Thaa K Jo Bekhaer Giya
Tere Gulab Se Cheherey Pe Zarr Udasi Kaa

Mere Wajood K Khalwat Kaddey Mein Koi To Thaa
Jo Rakh Giya Hai Diya Taaq Pe Udasi Kaa

Mein Tujh Se Kaisey Kahoon Yaar e Mehrbaan Mere
K Tu Ellaj Nahin Meri Harr Udasi Kaa

Bichara Hai Jo Ekk Baar To Miltey Nahin Daikha


Bichara Hai Jo Ekk Baar To Miltey Nahi Daikha
Iss Zakham Ko Hm Nay Kabhi Siltey Nahi Daikha

Ekk Baar Jissey Chaat Gai Dhoop Ki Khawahish
Phirr Shaakh Pe Uss Phool Ko Khiltey Nahin Daikha

Yakk Lakht Girra Hai To Jarrein Bhi Nikal Aain
Jiss Paid Ko Aandhi Mein B Hiltey Nahin Daikha

Kiss Tarah Meri Rooh Harri Kar Giya Aakhir
Wo Zahir Jissey Jism Mein Khultey Nahin Daikha

Mujhe Matti Ka Gharr Bananey Ka Shauq Tha


Mujhey Mitti Ka Gharr Bananey Ka Shoq Thaa
Ussey Aashiyaney Girraney Ka Shoq Thaa

Mein Khud Se Rooth Jata Thaa Aksar Is Layey
Mujhey Roothey Hueyon Ko Mananey Ka Shoq Thaa


Ussey Wa'adon Ki Paasdari Pasand Naa Thee
Mujhey Wa'adey Nibhaney Ka Shoq Thaa

Mein Masroof Thaa Tanhion Ki Tallash Mein
Ussey Logon Se Millney Millaney Ka Shoq Thaa

Wo Bewafa Tha, Is Mein Hairat Ki Baat Nahin
Mujhey Bhi Bewafa Se Dil Laganey Ka Shoq Thaa

Jitni Duain Aati Thein


Jitni Duain Aati Thein
Sab Maang Leen Hm Nay
Jitney Wazeefay Yaad Thay Sarey

Kar Baithey Hain
Kai Tarah Se G Daikha Hai
Kai Tarah Se Marr Baithey Hain
Lekin Janan!
Kisi Bhi Surat
TuM MereY Ho Kar Nahi Daitey!

Syed Wasi Shah

Tuesday 12 February 2013

Kuchh Ishq Kiya Kuchh Kaam Kiya


Woh Logg Bahot Khushqismat Thay
Jo Ishq Ko Kaam Samjhtey Thay
Yaa Kaam Se Aashiqi Kartey Thay
Hm Jeetey Jee Masroof Rahey

Kuchh Ishq Kiya, Kuchh Kaam kiya
Kaam Ishq Kay Aarey Aata Raha
Aor Ishq Se Kaam Uljhta Raha
Phir Aakhir Tang Aa Kar Hum Nay
Donon Ko Adhoora Chorr Diya...

Faiz Ahmed Faiz

Sunday 10 February 2013

Ussey Kehna


Ussey Kehna Mein Nay Seekh Lia Tanha Rehna
Ussey Kehna Bs Ab Wo Pallat K Matt Aayey

Friday 1 February 2013

Aaj Phir Tumhari Yaad Mein


Aaj Phir Tumhari Yaad Nay Chheen Laye Hosh O Hawas Mere
Pagal .. Ho .. Jain .. Gay .. Hm .. Agr .. Yeh .. Silsala .. Jari .. Raha