Friday 28 December 2012

Bahishet Say He Mein Aai Zameen Par


Bahishet Se Hi Mein Aai Zameen Parr Lekin
Shumar Mera Nahin Aasmani Chezon Mein

Phir Aaya Bhoola Hua Khawab, Raat Mein Nainan
Likhi Hui Thee Purani Kahani Chezon Mein

Kabhi Saya Hai Kabhi Dhoop


Kabi Saya Hai, Kabhi Dhoop Muqadarr Mera
Hota Rehta Hai Younhi Qarz Braber Mera
Toot Jatey Hain Kabhi Mere Kinarey Mujh Mein
Doob Jata Hai Kabhi Mujh Mein Sumandar Mera

Woh Tujh Ko Bhooley Hain To


Woh Tujhko Bhooley Hain To Tujh Pay B Laazim Hai Meer
Khaak Daal, Aaag Lagga, Naam Naa Lay, Yaad Naa Karr

Tuesday 18 December 2012

Tum Say Kehna Tha



Tum Sey Kehna Thaa

Tum Sey Kehna Thaa
Ekk Nazar Ki Fursatt Mein
Sateh e Dill Par Khill Uthhay

Lafz Bhi, Maani Bhi
Khamshi Ki Jhilmill Mein
Aag Bhi Thee, Paani Bhi
Dill Nay Dharknon Se Bhi
Jo Kahi Nahin Abhi Tak
Ann Kahi Kahani Bhi
Ann Kahi Kahani Mien
Aankh Bharr Tamana Thee
Haathh Bharr Ki Doori Par
Lams Bharr Ki Qurbat Thee
Lamha Bhar Ka Sapna Tha..!!

Ayoub Khawar

Thursday 13 December 2012

Naye Dinnon Kay Naye Safar



Naey Dinon Kay Naey Safar Main,
Khamosh Chup Chaap,
Kuch Na Kehti,
In Sa’atoon Nay,

Saomp Daly Naey Taqazay Rafaqatoon Kay,
Dehan Rakhna,
Kay Apnay Hissay K Sab Taqazay Nibahny Hain,
Sath Chalty Huay Safar Main,
Har Ik Dagar Main,
Chahatoon Kay Ghulab Likhna,
Waraq Waraq Aetmad Jis Main,
Kharaf Kharaf Main Ho Jan Nisari,
Nai Khushiyan, Naey Manazir,
Nai Manazir Naey Khawalay,
Bas Aik Aisi Hi Muhabbatoon Ki Kitab Likhna,
Naey Dinon Kay Naey Safar Main….

Ab Orr Kiya Kisi Se Marasim



Ab Aor Kiya Kissi Se Marasim Barhain Hm
Yeh Bi Bahot Hai Tujh Ko Agr Bhool Jain Hm

Sehraye Zindagi Mein Koi Doosra Na Thaa
Suntey Rahey Hain Aap Apni Saddain Hm

Iss Zindagim Mein Itni Faraghat Kissey Naseeb
Itna Naa Yaad Aaa K Tujhey Bhool Jain Hm

To Itni Dilzadda To Na Thi Aaye Shab e Firaq
Aa Tere Rastey Mein Sittarey Luttain Hm

Ahmed Faraz

Wednesday 5 December 2012

Yaad


Janey Kion
Barish Jab Bhi Hoi Hai
Merey Andar Teri Yaad..!!
Chupkey Chupkey Roi Hai...

Har Koi Dill Ki Hathaili Pe Hai


Harr Koi Dill Ki Hathaili Pe Hai Sahera Rakhey
Kiss Ko Sairaab Karey Woh Kissey Piyasa Rakhey

Umer Bharr Kon Nibhata Hai Ta'alluq Itna
Aey Meri Jaan K Dushman Tujhe Allah Rakhey


Hum Ko Acha Nahin Lagta Koi Hum Naam Tera
Koi TUjh Sa Ho To Phirr Naam Bhi Tujh Sa Rakhey

DIll Bhi Pagal Hai K Uss Shakhs Se Wabasta Hai
Jo Kissi Or Ka Honey Day Naa Apna Rakhey

Ye Qanaat Hai Ittaat Hai K Chahat Hai Faraz
Hum To Razi Hain Wo Jiss Haal Mein Jaisa Rakhey

Ahmed Faraz

Khuab Martey Nahin


Khawab Martey Nahin
Khuab Dill Hain Naa Aankhien Na Shaamein K Jo
Raiza Raiza Houey To Bikhar Jain Gey
Jism Ki MOut Se B Ye Marr Jain Gey
Khaab Martey Nahin,

Khaab To Roshni Hain Nawa Hain,
Hawa Hain,
Jo Kaley Paharon Se Ruktey Nahin,
Zulm K Dozakhon Se Bhi Phuktey Nahin,
Roshni Aor Nawa Aor Hawa K Allam,
Maqtalon Mein Pohnch Kar Bhi Jhuktey Nahin,
Khab To Harf Hain,
Khaab To Noor Hain,
Khaab Suqrat Hain,
Khaab Mansoor Hain
Ahmad Faraz