Monday, 8 July 2013

Ishq Qaatil Se Bhi


Ishq Qaatil Se Bhi, Maqtool Se Hamdardi Bhi
Yeh Batta Kis Se Muhabbat Ki Jaza Mangey Gaa?

Sajda Khaliq Ko Bhi, Iblees Se Yarana Bhi
Hashar Mein Kis Se Aaqeedat ka Silla Mangey Gaa?

Ishq Per Muqadma Kar Ke


Ishq Per Muqadmma Kar K Kiya Milley Gaa
Janab e Hussan Ko Pakro, Yahi Fassad Ki Jarr Hai

Is Ki Takmeel Ho Nahi Sakti


Is Ki Takmeel Ho Nahi Sakti
Ishq Mein Ekk Hi Burai Hai

Rishwat Bhi Nahi Leta


Rishwat Bhi Nahi Leta Kambakht Jaan Chhorney Ki
Yeh Ishq Mujhe Bahot Emandaar Lagta Hai..

Friday, 5 July 2013

A Night Thought by William Wordsworth

Lo! where the Moon along the sky
Sails with her happy destiny;
Oft is she hid from mortal eye
Or dimly seen,
But when the clouds asunder fly
How bright her mien!
Far different we--a froward race,
Thousands though rich in Fortune's grace
With cherished sullenness of pace
Their way pursue,
Ingrates who wear a smileless face
The whole year through.
If kindred humours e'er would make
My spirit droop for drooping's sake,
From Fancy following in thy wake,
Bright ship of heaven!
A counter impulse let me take
And be forgiven.   
by - William Wordsworth

Thursday, 4 July 2013

Roz Aamil Badlta Hoon


Roz Aamil Badlta Hoon
Par Tera Aaseb Nahi Jata

Mujhe Bhi Kho Diya Tum Ne


Faqat Mein Hi To Thee Jis Ne
Tumharey Sarey Zakhmon Ko
Chhuwa Thaa Apney Honton Se
Wo Mein Thee

Jis Ney Palkon K Qalm Se Baraha Janan!
Tumhari Bolti Aankhon Pe Lakhon Sher Likhey They
Tumhare Dill Ki Dharti Par
Wafaon K Hazaron Aks Rakhey Thay
Batao Kiss Ne Tum Ko Zindagi De Karr
Eviz Mein Mout Chahi Thie
Magar Ye Kiya Kiya Tum Ne?
Mujhe Bhi Kho Diya Tum Ne