Tuesday, 4 February 2014

Suna Hai Bohat Sasta Hai Khoon Wahan Ka

Suna Hai Bohat Sasta Hai Khoon Wahan Ka

Ek Basti K Jise Log Kashmir Kehte Hain...

Suna Hai Bohat

Ek Lafz-e-Mohabbat Ka Adnaa Sa

Ek Lafz-e-Mohabbat Ka Adnaa Sa Fasaana Hai

Simtay To Dil-e-Aashiq, Phailay To Zamana Hai...

Ek Lafz-e-Mohabbat

Zindagi Be-Saibaan Be-Ghar Kahin Aisi Na Thi

Zindagi Be-Saibaan Be-Ghar Kahin Aisi Na Thi

Aasmaa Aisa Nahi Tha Aur Zamee Aisi Na Thi

Hum Bicharne Se Hue Gumrah Warna Is Se Qabal

Mera Daaman Tarr Na Tha Teri Jabeen Aisi Na Thi...

Zindagi Be-Saibaan

Mohabbat Khud Batati Hai Kahan Kis Ka Thikana Hai

Mohabbat Khud Batati Hai
Kahan Kis Ka Thikana Hai
Kise Aankhon Me Rakhna Hai
Kise Dil Me Basana Hai
Reha Karna Hai Kis Ko Aur
Kise Zanjeer Karna Hai
Mitana Hai Kise Dil Se
Kise Tehreer Karna Hai
Ise Maloom Hota Hai
Safar Dushwar Kitna Hai
Kisi Ki Chashm-e-Girya Me
Chupa Iqrar Kitna Hai
Shajar Jo Girne Wala Hai
Wo Saya Daar Kitna Hai
Mohabbat Khud Batati Hai
Kahan Kis Ka Thikana Hai...!

Mohabbat Khud Batati

Duaaen Karta Tha Ujjre Hue Mazaaron Pe

Duaaen Karta Tha Ujjre Hue Mazaaron Pe

Bare Ajeeb Sahaare Talaash Karta Tha

Bhulaaye Kon Aziyyat Pasandiyaan Us Ki

Khushi K Dher Me Sadmy Talash Karta Tha...

Duaaen Karta Tha

Monday, 3 February 2014

Ab Bhi Aa Jata Hai Mere Khayaalon Me

Ab Bhi Aa Jata Hai Mere Khayaalon Me Wo

Aaj Bhi Lagti Hai Haazri  Us Ghair Haazir Ki...

Ab Bhi Aa

Jane Wale Manzilon Ko Jaate Jaate Keh Gaye

Jane Wale Manzilon Ko Jaate Jaate Keh Gaye

Tum Raste Ki Dhool The So Raste Me Reh Gaye...

Jane Wale Manzilon

Shayad Use Aziz Thein Aankhen Meri

Shayad Use Aziz Thein Aankhen Meri Bohat

Wo Mere Naam Apni Basaarat Bhi Kar Gaya

Dil Ka Nagar Ujaarne Wala Huner Shanaas

Taameer Hosalon Ki Amaarat Bhi Kar Gaya...

Shayad Use Aziz

Saturday, 1 February 2014

Wo Zeher Deta To Duniya Ki Nazron Me

Wo Zeher Deta To Duniya Ki Nazron Me Aa Jata

Kamal Ki Soch Thi Uski Pyaar Kia Aur Chor Dia...

Wo Zeher Deta

Bhool Gaye Ho Kya Chahne Walo

Bhool Gaye Ho Kya Chahne Walo?

Kya Yad Bhi Mehengi Kr Di Hukumat Ne...?

Bhool Gaye Ho

Qismat Bhi Ab To Sath Nahi Deti

Qismat Bhi Ab To Sath Nahi Deti

Bilkul Tere Jesi Bewafa Hai...!

Qismat Bhi Ab

Har Kisi Ke Honton Ko Chooma

Har Kisi Ke Honton Ko Chooma...
Bewafa Log Honton Par Bhi Zehar Laga Dety Hain....

Submitted By: Qaisar Baloch

Mere Paas Se Guzra Mere Haal Tak Na Pocha

Mere Paas Se Guzra Mere Haal Tak Na Pocha 
Main Kese Maan Jao Ke Dor Ja K Roya Ho Ga

Submitted By: Abdul Jabbar