Thursday, 30 January 2014

Qatra Qatra Milti Hai Qatra Qatra Jeene

Qatra Qatra Milti Hai

Qatra Qatra Jeene Do

Zindagi Hai Behne Do

Pyaasa Hoon Me Pyaasa Rehne Do...

Qatra Qatra Milti

Masoomiyat Ka Kuch Aisa Andaaz Tha

Masoomiyat Ka Kuch Aisa Andaaz Tha Mere Sanam Ka

Use Tasveer Me Bhi Dekhun To Palkein Jhuka Leti Thi...

Masoomiyat Ka Kuch

Kehte Hain Umar-e-Raftaa Kabhi Laut'ti

Kehte Hain Umar-e-Raftaa Kabhi Laut'ti Nahi

Jaa Maikade Se Meri Jawaani Uthaa K Laa...

Kehte Hain Umar

Kaiyaan Nu Maan Wafavan Da

Kaiyaan Nu Maan Wafavan Da
Kaiyaan Nu Naaz Adaavan Da
Assi Peele Patte Darakhtan De
Sanu Rehnda Khof Hawavan Da...

Kaiyaan Nu Maan

Kal Halki Halki Barish Thi

Kal Halki Halki Barish Thi
Kal Sard Hawa Ka Raqs Bhi Tha
Kal Phool Bhi Nikhre Nikhre The
Kal Un Pe Apka Aks Bhi Tha
Kal Baadal Gehre Kalay The
Kal Chaand Pe Lakhon Pehre The
Kuch Tukre Apki Yaadon K
Bari Dair Se Dil Me Thehre The
Kal Yaadein Uljhi Uljhi Thi
Aur Kal Tak Ye Na Suljhi Thi
Kal Yaad Bohut Tum Aye The
Kal Yaad Bohut Tum Aye The...

Kal Halki Halki Barish

Wednesday, 29 January 2014

Na Kuch Raha Paas Apne To Sambhaal K Rakhi

Na Kuch Raha Paas Apne To Sambhaal K Rakhi Aik Tanhai

Ye Wo Saltanat Hai Jis K Baadshah Bhi Hum, Faqeer Bhi Hum...

Na Kuch Raha

Tuesday, 28 January 2014

Kabhi Hum Bhi Muhabbat Me Apne Ap Ko

Kabhi Hum Bhi Muhabbat Me Apne Ap Ko Baadshah Samjhte The

Pata Us Din Chala Jab Wafa Mangte Rahe Faqeeron Ki Tarha...

Kabhi Hum Bhi

Chal Dost Kisi Anjaan Basti Me

Chal Dost Kisi Anjaan Basti Me Chalen

Is Nagar Me To Sabhi Hum Se Khafa Rehte Hain...

Chal Dost Kisi

Gum Sum Si Raahguzar Thi Kinaara Nadi

Gum Sum Si Raahguzar Thi, Kinaara Nadi Ka Tha

Pani Main Chaand, Chaand Main Chehra Kisi Ka Tha...

Gum Sum Si

Monday, 27 January 2014

Dekh Me Ho Gaya Bad-Naam

Dekh Me Ho Gaya Bad-Naam Kitaabon Ki Tarha

Meri Tash'heer Na Kar Ab To Jala De Mujh Ko...

Dekh Me Ho

Shayad Ye Andhere Hi Mujhe Raah

Shayad Ye Andhere Hi Mujhe Raah Dikhaen

K Ab Chaand Sitaaron Se Mera Zikar Na Karna...

Shayad Ye Andhere

Zindagi Tujh Se Har Aik Baat Pe Samjhota

Zindagi Tujh Se Har Aik Baat Pe Samjhota Karun

Shoq Jeene Ka Hai Mujh Ko Magar Itna To Nahi...

Zindagi Tujh Se

Dekha Palat K Us Ne K Hasrat Usy Bhi Thi

Dekha Palat K Us Ne K Hasrat Usy Bhi Thi
Hum Jis Pe Mitt Gaye The Muhabbat Usy Bhi Thi

Chup Ho Gaya Tha Dekh Kar Wo Bhi Idhar Udhar
Duniya Se Meri Tarha Shikayat Usy Bhi Thi

Ye Soch Kar Andhere Gale Laga Liye
Raaton Ko Jaagne Ki Aadat Usy Bhi Thi

Wo Ro Dia Tha Mujh Ko Pareshaan Dekh Kar
Us Din Laga K Meri Zarurat Usy Bhi Thi...

Dekha Palat K

Sunday, 26 January 2014

Mujhe Apne Zabt Pe Naaz Tha

Mujhe Apne Zabt Pe Naaz Tha
Sar-e-Bazm Raat Ye Kya Hua
Meri Aankh Kese Chalak Gai
Mujhe Ranj Hai Ye Bura Hua
Meri Zindagi K Charaagh Ka
Ye Mizaaj Bhi Koi Naya Nahi
Kabhi Roshni Kabhi Tareeki
Na Jala Hua Na Bujha Hua
Mujhe Jo Bhi Dushman-e-Jaan Mila
Wohi Pukhta Kaar-e-Jafa Mila
Na Kisi Ki Zarb Galat Pari
Na Kisi Ka Teer Khata Hua...

Mujhe Apne Zabt

Hum Se Itna Nahi Ho Saka K Tujhe

Hum Se Itna Nahi Ho Saka K Tujhe Bhula Den

Ek Tum Ho Jo Kabhi Bhoole Se Bhi Mujhe Yaad Nahi Karte...

Hum Se Itna

Thehra Gaya Hai Laa K Jo Manzil Me Ishq

Thehra Gaya Hai Laa K Jo Manzil Me Ishq Ki

Kya Jaane Rahnuma Tha K Rahzan Tha, Kon Tha...

Thehra Gaya Hai

Naami Koi Bagair Mushaqqat Nahi

Naami Koi Bagair Mushaqqat Nahi Hua
So Bar Jab Aqeeq Kata Tab Nageen Hua...

Naami Koi Bagair

Saturday, 25 January 2014

Lahu Lahu Hai Har Ek Sang-e-Rahguzaar Jaanaa

Lahu Lahu Hai Har Ek Sang-e-Rahguzaar Jaanaa
Hua Na Tha To Mere Dard Ka Safar Jaanaa

Ye Aur Baat K Tu Dil Ki Dharkano Me Raha
Talaash Phir Bhi Kia Tujh Ko Umer Bhar Jaanaa

K Sheher Bhar Ne To Chehre Ka Kurb Dekha Hai
Jo Dil Pe Guzri Hai Uski Kise Khabar Jaanaa

Bichar K Tujhse To Lamhe Bhi Maah-o-Saal Hue
Ye Umer Kehne Ko Thi Kitni Mukhtasar Jaanaa...

Lahu Lahu Hai

Ab K Hum Bichre To Shayad Kabhi

Ab K Hum Bichre To Shayad Kabhi Khawabon Me Milen

Jis Tarha Sookhe Hue Phool Kitaabon Me Milen...

Ab K Hum

Friday, 24 January 2014

Shoq Ko Aazim-e-Safar Rakhiye

Shoq Ko Aazim-e-Safar Rakhiye
Be-Khabar Ban K Sab Khabar Rakhiye

Chahe Nazrein Hon Aasmano Par
Paun Lekin Zameen Par Rahkhiye

Baat Hai Kya Ye Kon Parkhega
Aap Lehje Ko Pur-Asar Rakhiye

Jane Kis Waqt Kooch Karna Ho
Apna Samaan Mukhtasar Rakhiye...

Shoq Ko Aazim

Na Gila Hai Koi Halaat Se Na Shikayat

Na Gila Hai Koi Halaat Se, Na Shikayat Kisi Ki Zaat Se
Khud Hi Sare Warq Juda Ho Rahe Hain Zindagi Ki Kitab Se...

Na Gila Hai

Thursday, 23 January 2014

Wednesday, 22 January 2014

Maan Bhi Lo K Muhabbat Me Ab Pakeezgi Nahi

Maan Bhi Lo K Muhabbat Me Ab Pakeezgi Nahi Rahi QAFS

Jee Behlaane K Bahane Dhoond Liye Hain Tum Ne...

Maan Bhi Lo K

Badalte Mausam Pe Apni Umeedein

Badalte Mausam Pe Apni Umeedein Na Rakhna

Din Baharon K Bare Mukhtasir Hua Karte Hain...

Badalte Mausam

Tumhara Khat Mila Jaanaa

Tumhara Khat Mila Jaanaa
Wo Jis Me Tum Ne Pucha Hai
K Ab Haalaat Kese Hain?
Mere Din Raat Kese Hain?
Meherbani Tumhari Hai!
K Tum Ne Is Tarha Mujh Se
Mere Haalaat Puche Hain
Mere Din Raat Puche Hain
Tumhe Sab Kuch Bata Dunga
Mujhe Itna Bata Do K
Kabhi Saagar Kinare Pr
Kisi Machli Ko Dekha Hai?
K Jis Ko Lehrein Paani Ki
Kinare Tak To Laati Hain
Magar Phir Chor Jaati Hain
Mere Haalaat Aise Hain
Mere Din Raat Aise Hain...

Tumhara Khat Mila

Tuesday, 21 January 2014

Mera Qasoor Bataye Bina Wo Bewafa Yun Chal Diya

Mera Qasoor Bataye Bina Wo Bewafa Yun Chal Diya,
'Qamar' Jaise Us Bin Jeena Bara Aasan Hai Mere Liye...

Submitted By: Qamar Ali

Chala Hun Phir Se Zindagi Ki Rahon Mein

Chala Hun Phir Se Zindagi Ki Rahon Mein,
'Shari' Dua Karna K Ab Ki Baar Koi Be Wafa Na Mile...

Submitted by: Shari

Dard Se Khelna Seekh Gaye Hum

Dard Se Khelna Seekh Gaye Hum,
Bewafai Ko Jhelna Seekh Gaye Hum..
Hum Kya Batayn Hume Zindagi Ne Kis Qadar Sakht Bana Diya Hai,
K Maut Aane Se Pehle Kafan Aurhna Bhi Seekh Gaye Hum...

Submitted By: Vihan Raichand

Mana K Marne Walon Ko Bhula Deti Hai

Mana K Marne Walon Ko Bhula Deti Hai Duniya

Mujh Zinda Ko Bhool Kr Tum Ne To Riwayat Badal Dali...

Mana K Marne

Be-Dili Kya Yunhi Din Guzar Jaenge

Be-Dili Kya Yunhi Din Guzar Jaenge

Sirf Zinda Rahe Hum To Mar Jaenge...

Be-Dili Kya

Me Dhoondne Ko Zamany Me Jab

Me Dhoondne Ko Zamany Me Jab Wafa Nikla

Pata Chala K Galat Le K Me Pata Nikla...

Me Dhoondne Ko

Sunday, 19 January 2014

Mere Jesa Is Zamaany Me Koi Rehta

Mere Jesa Is Zamaany Me Koi Rehta Bhi Ho

Jo Khud Apne Haal Pe Hansta Bhi Ho Rota Bhi Ho...

Mere Jesa Is

Lagta Hai Jese Tang Hain Log

Lagta Hai Jese Tang Hain Log Mere Wajood Se

Aye Zindagi Tujh Ko Bhi Ijaazat Hai Chor Ja...

Lagta Hai Jese

Apno Ki Chahaton Me Milaawat Thi

Apno Ki Chahaton Me Milaawat Thi Is Qadar

Tang Aa K Dushmano Ko Manany Chala Gaya...

Apno Ki Chahaton

Chalo Muhabbat Ki Nayi Bunyaad Rakhte Hain

Chalo Muhabbat Ki Nayi Bunyaad Rakhte Hain
Khud Paband Rehte Hain Tumhe Azad Rakhte Hain

Hamary Khoon Me Rab Ne Yehi Taseer Rakhi Hai
Burai Bhool Jate Hain Achai Yaad Rakhte Hain

Muhabbat Me Kahin Hum Se Gustakhi Na Ho Jaye
Hum Apna Har Qadam Us K Qadam K Baad Rakhte Hain...

Chalo Muhabbat Ki

Saturday, 18 January 2014

Pakiza Mohabbat Ko Gunah-Gar Na Karna

Pakiza Mohabbat Ko Gunah-Gar Na Karna
Tum Pyaar To Karna Magar Izhaar Na Karna

Qurbani Ka Jazba Tumhe Virsy Me Mila Hai
Wo Jaan Bhi Agar Mangy To Inkaar Na Karna

Surat Se Bari Cheez Hai Mehboob Ki Seerat
Aawara Hawaon Se Kabhi Pyaar Na Karna

Aashkon Me Na Beh Jaen Kahin Gham Ka Khazana
Soye Hue Toofan Ko Be-Daar Na Karna...

Pakiza Mohabbat Ko

Koshish K Bawajood Jo Puri Na Ho

Koshish K Bawajood Jo Puri Na Ho Sakein

Tera Naam Bhi Unhi Khawahishon Me Hai ...

Koshish K Bawajood

Friday, 17 January 2014

Khud Pe Beeti To Rote Ho Tarapte Ho

Khud Pe Beeti To Rote Ho, Tarapte Ho Sisakte Ho

Hum Ne Jo Kia Tha Wo Kya Ishq Nahi Tha...?

Khud Pe Beeti

Bari Ajeeb Hai Is Nadaan Dil Ki

Bari Ajeeb Hai Is Nadaan Dil Ki Khawahish

Ek Shakhs Mera Hona Nahi Chahta Aur Dil Usy Khona Nahi Chahta...

Bari Ajeeb Hai

Thursday, 16 January 2014

Chaak Daamaniyan Nahi Jateen

Chaak Daamaniyan Nahi Jateen
Dil Ki Nadaaniyan Nahi Jateen

Baam-o-Dar Jal Uthe Charaaghon Se
Ghar Ki Weraaniyan Nahi Jateen...

Chaak Daamaniyan Nahi

Neendon Ko Taraste Hain Khawab

Neendon Ko Taraste Hain Khawabon K Tamannai

Ek Khawab Ki Aankhon Ne Kya Khoob Saza Pai...

Neendon Ko Taraste

Laa Tere Pairon Me Marham Laga Dun

Laa Tere Pairon Me Marham Laga Dun

Mere Dil Ko Thokar Marne Se Tujhe Chot To Aai Hogi...

Laa Tere Pairon

Monday, 13 January 2014

Ye Jo Zindagi Ki Kitaab Hai Ye Kitaab

Ye Jo Zindagi Ki Kitaab Hai, Ye Kitaab Bhi Kya Kitaab Hai

Kahin Ek Haseen Sa Khawab Hai, Kahin Jan Leva Azaab Hai...

Ye Jo Zindagi

Dhoondti Phirti Hai Dasht-o-Bayaan

Dhoondti Phirti Hai Dasht-o-Bayaan Me Humein
Zindagi Hum Se Bichar K Pachta Rahi Hai Bohat...

Dhoondti Phirti Hai

Gubaar-e-Rah Se Keh Do Sambhaale

Gubaar-e-Rah Se Keh Do Sambhaale Naqsh-e-Qadam
Zamaana Dhoonde Ga Phir Hum Ko Raah-Bari K Liye...

Gubaar-e-Rah

Go Dukhi Dil Ko Bohat Bachaya

Go Dukhi Dil Ko Bohat Bachaya Hum Ne

Jis Jaga Zakhm Ho Wahan Chot Sadaa Lagti Hai...

Go Dukhi Dil

Payaas Kehti Hai K Ab Rait Nichori

Payaas Kehti Hai K Ab Rait Nichori Jaye

Apne Hissy Me Samandar Nahi Ane Wala...

Payaas Kehti Hai