Roman Urdu رومن اردو
Dastras Se Apni Wo Bahar Ho Gaye
Jab Se Hum Un Ko Muyassar Ho Gaye
Shaher e Khooban Ka Yahi Dastoor Hai
Murr Kay Daikha To Pathar K Ho Gaye
Be Watan Kehlaye Apney Dais Mein
Apney Gharr Mein Reh K Be Gharr Ho Gaye
Sukh Teri Meeras They Tujh Ko Milley
Dukh Hamarey Thay Muqaddar Ho Gaye
Teri Khood Gharzi Se Khud Ko Soch Kar
Aaj Hum Tere Brabar Ho Gaye
Parveen Shakir
Urdu اردو
دسترس سے اپنی وہ باہر ہوگئے
جب سے ہم اُن کو میسر ہو گئے
شہرِ خوبان کا یہی دستور ہے
مڑکے دیکھا تو پتھر کے ہو گئے
بے وطن کہلائے اپنے دیس میں
اپنے گھر میں رہ کے بے گھر ہو گئے
سکھ تیری میراث تھے تجھ کو ملے
دکھ ہمارے تھے مقدر ہو گئے
تیری خود غرضی سے خود کو سوچ کر
آج ہم تیرے برابر ہو گئے
پروین شاکر