Monday, 30 September 2013
Sunday, 29 September 2013
Ghum-E-Hayaat Ka Jhagra Mita Raha
Ghum-E-Hayaat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi
Chalay Aao K Duniya Se Ja Raha Hai Koi
Koi Azal Se Keh Do K Ruk Jaye Do Ghari
Suna Hai Aanay Ka Wada Nibha Raha Hai Koi
Wo Is Naaz Se Baithay Hain Lash K Paas
Jese Roothy Hue Ko Mana Raha Hai Koi
Palat Kar Na Aa Jaye Phir Sans Nabzon Main
Itne Haseen Hathon Se Maiyat Saja Raha Hai Koi...
Saturday, 28 September 2013
Friday, 27 September 2013
Thursday, 26 September 2013
Mujhe Khud Ki Nahi Koi Khabar
Mujhe Khud Ki Nahi Koi Khabar,
Teri Aarzu Kya Karoon?
Mein To Khud Hun Aik Be_Makeen,
Teri Justuju Kya Karoon?
by: Saba
Wednesday, 25 September 2013
Tuesday, 24 September 2013
Monday, 23 September 2013
Sunday, 22 September 2013
Saturday, 21 September 2013
Muddat Se Jis K Waasty Dil Be-Qarar
Muddat Se Jis K Waasty Dil Be-Qarar Tha
Wo Laut Kr Na Aaya Magar Intizaar Tha
Jo Hum-Safar Tha Chor Gaya Raah Main Mujhe
Main Phans Gaya Bhanwar Main Aur Wo Dariyaa K Paar Tha
Manzil Qareeb Aai To Tum Door Ho Gaye
Itna To Tum Batao K Ye Kesa Pyar Tha?
Dewaar Ye Bana Di Kis Ne Dono K Darmiyaan
Na Wo Sukoon Se Betha Na Mujh Ko Qarar Tha
Ye Baat Umar Bhar Samajh Na Paaya Main
Kiun Dil Mera Us Be-Wafa Ka Talab-gaar Tha...
Friday, 20 September 2013
Meri Chahat K Takazay Na Nibhany Waly
Meri Chahat K Takazay Na Nibhany Waly,
Kitne Be-Dard Hain Ye Log Zamanay Waly,
Koi Apna Nahi Matlab Ki Hai Duniya Saari,
Ab Kahan Milte Hain Wo Dost Purany Waly,
Main Dua-Go Hun Sada Neenden Hon Mubarak Tujh Ko,
Hijar Ka Dard Mujhe De k Jagany Waly,
Bus Yehi Soch K Hr Baar Manaata Hun Tujhe,
Loat k Aaty Nahi Rooth K Jane Waly,
Hamary Seeny Main Kabhi Jhaank K Dekho To Sahi,
Kitne Afsurda Hain Hum Auron Ko Hansany Waly...
Subscribe to:
Posts (Atom)