Thursday, 27 June 2013
Wednesday, 26 June 2013
Diyaar-e-Yaad Ka Mausam Bara Martoob Rehta Hai
Diyaar-e-Yaad Ka Mausam Bara Martoob Rehta Hai,
Sabhi Masroof Rehte Hain, Mohabbat Kon Karta Hai....
By: Awais
Monday, 24 June 2013
Sunday, 23 June 2013
Saturday, 22 June 2013
Friday, 21 June 2013
Ab Ye Bhi Nahi Yaad Ke Kia Naam Tha Uska
Ab Ye Bhi Nahi Yaad Ke Kia Naam Tha Uska
Jis Shakhs Ko Manga Tha Manajaat Ki Manind
Kis Darja Muqaddas Hai Tere Qurb Ki Khwahish
Masoom Se Bache Ke Khayalat Ki Manind
Us Shakhs Se Milna Mera Mumkin Hi Nahi Tha
Mein Piyaas Ka Sehra Hun, Woh Barsaat Ki Manind
‘Mohsin’ Usey Samjhao Ke Ab Reham Kare Who
Dukh Bant’ta Phirta Hai Woh Soghaat Ki Manind
Thursday, 20 June 2013
Fikr Laahaq Hai Ye Ehbaab Kahan Jayn Ge
Fikr laahaq hai ye ehbaab kahan jayain gay?
Jism mar jaayay ga to khwaab kahan jayain gay?
Ham musabbab hain sabab dhoond rahay hain
Na rahay ham he to asbaab kahan jayain gay?
Mujh sy qaayim hay ye ijaad k ablaagh k fan
Bin mere tere ye abwaab kahan jayain gay?
Dil ye kehta hay ehsas bacha lo daikho
Aankh kehti hay ye sailab kahan jayain gay?
Gard ho ja'on ga ek roz zamee'n kehti hay
Par jo mujh may hain wo gardaab kahan jayain gay?
By: Kashif chaudhri
Wednesday, 19 June 2013
Phirte Rahe Yun Darbadar Bekaar Ban Gaye
Phirte Rahe Yun Darbadar Bekaar Ban Gaye,
Bantey Wo Or Kiya Mere Dildar Ban Gaye
Hota Tha Jin Ko Dekh Kar Sachai Ka Gumaan
Meri Kahaniyon Ke Wo Kirdar Ban Gaye
Charcha Raha Yun Jin Ki Ameeri Ka Umer Bhar
Mangi Jo Mein Ne Chahat Wo Nadaar Ban Gaye
Or Sadiyon Tak Shouq Jin Ko Mere Qatal Ka Raha
Aaj Kaisy Wo Mere Ghumkhwar Ban Gaye
‘Awais’ Ashaar Likhna Apna Shia’ar Na Tha
Lafzon Ke Hair Phair Se Asha’ar Ban Gaye
by: Awais Qureshi
Tuesday, 18 June 2013
Chalo Chalain Kahin Ek Naya Jahan Dhoondein
Chalo Chalain Kahin Ek Naya Jahan Dhoondein
Ghamon Se Door Bohat Koi Aasman Dhoondein
Bahar Ban Ke Baharon Ko Qaid Kar Aayn
Tere Wajood Ki Hare K Daastan Dhoondein
Ke Chaand Ban Ke Sitaaron Se Doosti Kar Layn
Tere Wisaal Ki Be_Chain Titliyan Dhoondein
Tujhe Talaash Karain Chandni Ke Saaye Mein
Shab-E-Faraq Me Lut’ti Hui Khizan Dhoondein
Kisi Ke Khwab Sajayn Hawa Ki Lehron Pe
‘Ali’ Ke Shehar Me Ab Koi Saayban Dhoondein
Ghamon Se Door Bohat Koi Aasman Dhoondein
Bahar Ban Ke Baharon Ko Qaid Kar Aayn
Tere Wajood Ki Hare K Daastan Dhoondein
Ke Chaand Ban Ke Sitaaron Se Doosti Kar Layn
Tere Wisaal Ki Be_Chain Titliyan Dhoondein
Tujhe Talaash Karain Chandni Ke Saaye Mein
Shab-E-Faraq Me Lut’ti Hui Khizan Dhoondein
Kisi Ke Khwab Sajayn Hawa Ki Lehron Pe
‘Ali’ Ke Shehar Me Ab Koi Saayban Dhoondein
Monday, 17 June 2013
Dil Ka Roog Tha Na Yadain Theen Or Na Hi Ye Hijar
Dil Ka Roog Tha Na Yadain Theen Or Na Hi Ye Hijar,
Tere Piyar Sey Pehle Ki Neendain Bhi Kamal Ki Thin...
by: Sanwara
Sunday, 16 June 2013
Thursday, 13 June 2013
Monday, 10 June 2013
Sunday, 9 June 2013
Thursday, 6 June 2013
Monday, 3 June 2013
Subscribe to:
Posts (Atom)