Sunday, 31 March 2013

Maloom Hota Hai Bhool Gaye Ho Shayad

Maloom Hota Hai Bhool Gaye Ho Shayad,
Ya Phir Kamal Ka Sabar Rakhte Ho….

Bhool-Shayari

Tasawwar Me Zaroor Aao - Four Lines Poetry

Tasawwar Me Zaroor Aao,
Mager Tairna To Seekho,
Tum Aksar Doob Jate Ho,
Mere Ashkon Ke Pani Me….

Imaginary-Tears

Friday, 29 March 2013

Bicharte Lamhe, Usne Kaha

Bicharte Lamhe,
Usne Kaha,
Jee Na Paon Gi,
Tumhare Bin,
Phir Aaj Muddat Baad,
Mehakti Hawa,
Suna Gai,
Haal Uska…..

Haal

Thursday, 28 March 2013

Zameen Pe Chal Na Saka Aasman Se Bhi Gaya


Zameen Pe Chal Na Saka Aasman Se Bhi Gaya,
Kataa Ke Paroon Ko Parinda Uraan Se Bhi Gaya

Kisi Kaman Se Nikla Teer Hun Mein,
Jo Hadaf Ko Na Chu Saka Or Kaman Se Bhi Gaya

Tabaah Kar Gai Pakkey Makaan Ki Kashish Mujhe ‘Rani’
Mein Apne Gaaon Ke Kachi Makaan Se Bhi Gaya

Sulagti Aag Mein Jo Kooda To Kia Mila,
Usey Bhi Nahi Bachi Saka Khud Jaan Se Bhi Gaya….

By: Rani Sania

Wednesday, 27 March 2013

Aye Kaash K Hum Bhi Khush Naseeb Hote


Aye Kaash K Hum Bhi Khush Naseeb Hote 'Kami',
Koi Hamein Bhi Piyaar Karte Jitna Hum Tun Se Karte Hain...

Sunday, 24 March 2013

Bary Masroof Hote Hain Yeh Haseen Log Bhi


Bary Masroof Hote Hain Yeh Haseen Log Bhi 'Kaami',
Yaad To Karte Hain Lekin Fursat Ke Baad....

By: Kamran

Aik Wo Jinhein Yaad Nahi Qissa-e-Mazi

Aik Wo Jinhein Yaad Nahi Qissa-e-Mazi,
Ek Hum Hain Ke Abhi Tak Pehli Mulaqat Nahi Bhooly…
qissa-e-mazi

Hamein Tum Bhool Jao Ge Hamein Maloom Hai Lekin

Hamein Tum Bhool Jao Ge Hamein Maloom Hai Lekin,
Palat Kar Jab Bhi Aao Ge Mohabbat Muntazir Hogi….

wait-in-love

Saturday, 23 March 2013

Tuesday, 19 March 2013

Kiya Tum Bhi Aisa Karte Ho...?


Zarf Ke Anokho Pindar Me,
Dil Ke Rangeen Bazaar Me,
Mohabbat Ke Izhaar Me,
Nafrat Ke Iqraar Me,
Khud Apne Hi Kirdar Me,
Hum Tum Ko Socha Karte Hain,
Aur Khud Me Khoja Karte Hain,
Kiya Tum Bhi Aisa Karte Ho...?
Tum Hum Ko Socha Karte Ho...?
Aur Khud Me Khoja Karte Ho....?

Kia Woh Namrood Ki Khudai Thi

Kia Woh Namrood Ki Khudai Thi....
Bandagi Me Mera Bhala Na Hua...

Poet: Mirza Ghalib;  Shared By: Faisal