Friday, 28 December 2012
Tuesday, 18 December 2012
Tum Say Kehna Tha
Tum Sey Kehna Thaa
Tum Sey Kehna Thaa
Ekk Nazar Ki Fursatt Mein
Sateh e Dill Par Khill Uthhay
Lafz Bhi, Maani Bhi
Khamshi Ki Jhilmill Mein
Aag Bhi Thee, Paani Bhi
Dill Nay Dharknon Se Bhi
Jo Kahi Nahin Abhi Tak
Ann Kahi Kahani Bhi
Ann Kahi Kahani Mien
Aankh Bharr Tamana Thee
Haathh Bharr Ki Doori Par
Lams Bharr Ki Qurbat Thee
Lamha Bhar Ka Sapna Tha..!!
Ayoub Khawar
Thursday, 13 December 2012
Naye Dinnon Kay Naye Safar
Naey Dinon Kay Naey Safar Main,
Khamosh Chup Chaap,
Kuch Na Kehti,
In Sa’atoon Nay,
Saomp Daly Naey Taqazay Rafaqatoon Kay,
Dehan Rakhna,
Kay Apnay Hissay K Sab Taqazay Nibahny Hain,
Sath Chalty Huay Safar Main,
Har Ik Dagar Main,
Chahatoon Kay Ghulab Likhna,
Waraq Waraq Aetmad Jis Main,
Kharaf Kharaf Main Ho Jan Nisari,
Nai Khushiyan, Naey Manazir,
Nai Manazir Naey Khawalay,
Bas Aik Aisi Hi Muhabbatoon Ki Kitab Likhna,
Naey Dinon Kay Naey Safar Main….
Ab Orr Kiya Kisi Se Marasim
Ab Aor Kiya Kissi Se Marasim Barhain Hm
Yeh Bi Bahot Hai Tujh Ko Agr Bhool Jain Hm
Sehraye Zindagi Mein Koi Doosra Na Thaa
Suntey Rahey Hain Aap Apni Saddain Hm
Iss Zindagim Mein Itni Faraghat Kissey Naseeb
Itna Naa Yaad Aaa K Tujhey Bhool Jain Hm
To Itni Dilzadda To Na Thi Aaye Shab e Firaq
Aa Tere Rastey Mein Sittarey Luttain Hm
Ahmed Faraz
Wednesday, 5 December 2012
Har Koi Dill Ki Hathaili Pe Hai
Harr Koi Dill Ki Hathaili Pe Hai Sahera Rakhey
Kiss Ko Sairaab Karey Woh Kissey Piyasa Rakhey
Umer Bharr Kon Nibhata Hai Ta'alluq Itna
Aey Meri Jaan K Dushman Tujhe Allah Rakhey
Hum Ko Acha Nahin Lagta Koi Hum Naam Tera
Koi TUjh Sa Ho To Phirr Naam Bhi Tujh Sa Rakhey
DIll Bhi Pagal Hai K Uss Shakhs Se Wabasta Hai
Jo Kissi Or Ka Honey Day Naa Apna Rakhey
Ye Qanaat Hai Ittaat Hai K Chahat Hai Faraz
Hum To Razi Hain Wo Jiss Haal Mein Jaisa Rakhey
Ahmed Faraz
Khuab Martey Nahin
Khawab Martey Nahin
Khuab Dill Hain Naa Aankhien Na Shaamein K Jo
Raiza Raiza Houey To Bikhar Jain Gey
Jism Ki MOut Se B Ye Marr Jain Gey
Khaab Martey Nahin,
Khaab To Roshni Hain Nawa Hain,
Hawa Hain,
Jo Kaley Paharon Se Ruktey Nahin,
Zulm K Dozakhon Se Bhi Phuktey Nahin,
Roshni Aor Nawa Aor Hawa K Allam,
Maqtalon Mein Pohnch Kar Bhi Jhuktey Nahin,
Khab To Harf Hain,
Khaab To Noor Hain,
Khaab Suqrat Hain,
Khaab Mansoor Hain
Ahmad Faraz
Subscribe to:
Posts (Atom)