Friday, 30 November 2012
Monday, 26 November 2012
Sunday, 25 November 2012
Ab Nazm Kahon Yaa..!!!
Woh Milney K Ahed o Paimaan
Sb Jhootey Nikley Aye Janan
Na Tum Aain, Na Piyar Kiya
Na Chahat Ka Izharr Kiya
Na Ruthey Dil Ko Shaad Kiya
Na Sapnon Ko Aabad Kiya
Ekk Pall Bhi Mujhey Naa Yaad Kiya
Kiya Khoob Mujhey Barbaad Kiya
Ekk Ahed e Muhabbat Tod Diya
Rahon Mein Mujhey Kion Chhod Diya
In Tootey Huey Armanon Ko
Unn Chaht K Afsanon Ko
Sb Bhool K Mujh Se Kehti Ho
Ekk Nazm Koi Mujh Prr Likh Do
Kiya Likhon, Kiya Naa Likhon
Kiya Hijar Ka Afsana Likhon
Ashkon Ki Kahani Likh Doon Kiya
Wehshat Ki Zabani Likh Doon Kiya
Harr Baat Purrani Likh Doon Kiya
Yaa Aag Ko Pani Likh Doon Kiya
Ho Zikar Tumhari Ulfat Ka
Ya Sirf Fasana Wehshat Ka
Kiya Naam e Wafa Ki Baat Kahon
Ya Jor O Jafa Ki Baat Kahon
Tum Ko Mahboob Likhon Ya Phir
Tum Ko He Aduo Keh DOon Aakhir
Likhon K Wafa Tum Sey Na Hui
Yaa Koi Khata Tum Sey Na Hui
Kuch Baat Muhabbat Ki Likh Doon
Keh Do To Haqeeqat He Likh Doon
Likh Doon K Rulaiya Hai Tum Ne
Haan, Kitna Sataya Hai Tum Ne
Furqat Mein Jalaiya Hai Tum Ne
Deewana Banaya Hai TUm Ne
Likh Doon Janon Ka Zaher Piya
Parr Tum Ko Kabhi Ruswa Na Kiya
Jo Zakham Milla, Seeney Pe Saha
Parr Haal e Janon Phirr B Na Kaha
Tum Se Na Shikayat Ki Mein Ne
Bay Laous Muhabbat Ki Mein Ne
Kis Dhang Se Ulfat Ki TUm Ne
Kis Rangg Se Chahat Ki Tum Ne
Ghairon Pe Enayat Ki Tum Ne
Apnon Se Adawat Ki Tum Ne
Haan, Nazar e Enayat Ki Tum Ne
Parr Baher Zaroorat Ki Tum Ne
Iss Nazam Ka Unwan Koi Nahin
Abb Dard Ka Darmaan Koi Nahin
Abb Chak Gireban Koi Nahin
Abb Hijr Se Nalan Koi Nahin
Sunn Pao To Haal e Dill Keh Doon
Ab Nazam Kaho..?
Yaa Rehne Doon...?
Faisal Wadood
Sakoon e Dil Na Raha
Sakoon e Dill Naa Raha Jab Wo Bezaban Thehrey
Khushi Khushi Naa Rahi Jab Wo Badguman Thehrey
Wo Bhi Ekk Waqt Tha, Bin Unkey Guzarta Hi Naa Tha
Yeh Bhi Ekk Waqt Hai, Lamhey Mujhey Sadian Thehrey
Tajahil Thaa Taghafal Thaa Raqabat Mein Jo Hail Thaa
Yeh Meri Badnaseebi Thi Wo Mere Raazdaan Thehrey
Mera Aks Aainey Mein Tha, Pass e Aainaa They Wo Khudd
Sarabb e Dasht Ki Manind Hamarey Darmiyan Thehrey
K Jin Ko Bhoolna Merey Laye Ekk Maarkah Saa Thaa
Jahan Jaon Nazar Aaye, K Jaisey Aasman Thehrey
Mujhey Bass Yaad Hai Itna Kinarey Parr He Doobey Thay
Keh Baad e Janib e Jaanaan He Merey Dushman Thehray
Woh Merey Zeesat K Lamhey Bazahir Chand Lamhey Thay
Magrr Mahsoos Hota Hai K Jaisey Ekk Zammann Thehrey
Yeh Aaghaz e Safar Thaa Aor Raqeeb Apney Baghal Mein Thaa
Yeh Merie Badnaseebi Thee, Woh Meer e Kaarwaan Thehrey
Muqeed Dasht e Qufs Hoon, Mera Siyyad Hai Sahera
Bujhaye Piyas Mere Aabla Paoin Jahan Thehrey
Abdul Mutlab Muqeed
Friday, 23 November 2012
Yeh Dill Ki Baat Hai Na
Yeh Dill Ki Baat Hai, Na Zamaney Ki Baat Hai
Jo Kuchh Hai ZIndagi Ko Nibahaney Ki Baat Hai
Mein TUjh Ko Yaad Karkey, Hamesha Hi Ro Diya
Aankhon Mein Ashkk Hain Jo Bahaney Ki Baat Hai
Gr Tum Ko Yeh Adda, Ye Muhabbat Burri Lagey
Kuchh Hum Se Darguzarr Ho, Deewaney Ki Baat Hai
Mousam Bhi Ho Suhana Kabhi, Wo Bhi Saathh Hoon
Hum Ko Bhi Yeh Patta Hai, Fasaney Ki Baat Hai
Hum Ko Jo Zindagi Nay Diya, Tum Se Kiya Kahein
Jo Tum Se Keh Diya To... Rullaney Ki Baat Hai
Yeh Kaisa Maykadda Hai, Yeh Hai Intezam Kiya
Peeney Ki Baat Hai, Na Pillaney Ki Baat Hai
Ghairon Mein Itna Damm Thaa Kahan Hum Se Poochhiey
Kuchh Zakham e Dill Hain, Tum Ko Dikhaney Ki Baat Hai
Kaisey Bataon Mein, Jo Kiya Tum Nay Hai Sitam
Kehney Ki Baat Hai, Na Dabbaney Ki Baat Hai
Lazim To Nahin Hai K, Khushi Ho TO Hansoon Mein
Kuchh Gham Hain, Jinhein Sb Se Chuppaney Ki Baat Hai
Woh Hm Se Keh Rahey Hain, Wafa Par Yaqeen Nahin
Yeh TO Shoaib Humko, Sattaney Ki Baat Hai
Alfaz K Jhootey Bandhan
Alfaaz Kay Jhootey Bandhann Mein
Aaghaz Kay Gaherey Pardon Mein
Harr Shakhs Muhabbat Karta Hai
Halankey Muhabbat Kuchh B Nahi
Sb Jhootey Rishtey Natey Hain
Sb Dill Rakhney Ki Baatein Hain
Kb Kon Kissi Ka Hota Hai
Sb Assli Roop Chhuppatey Hain
Ehsas Se Khali Log Yahan
Lafzon K Teer Chalatey Hain
Ekk Baar Nazar Mein Aa Kr Woh
Phirr Sari Umer Rullatey Hain
Yeh Ishq O Muhabbat Maher O Wafa
Yeh Sab Kehney Ki Batein Hain
Hrr Shakhs Khud Hi Ki Masti Mein
Bas Apni Khatir Jeeta Hai
Thursday, 22 November 2012
Chahat Mein Kiya Duniyadari
Chahat Mein Kiy_a Duniya Dar_i Ishq Mein Kais_i Majboori
Logon Kaa Kiya, Samjhaney Do, In Ki Apni Majboor_i,
Mein Nay Dil K_i Baat Rakhi Aur Tu Nay Duniya Waloon Ki
Meri Aarz Bhi Majboori Thee, Unn Kaa Hukam Bh_i Majboori,
Rok Sako To Pahli Barish Ki Bondon Ko Tum Rok_o
Kachi Mitti To Mehkay Gee, Hai Mitti Ki Majboor_i,
Jab Tak Hansta Gaata Mausam Apna Hai, Sab Apney Hain
Wakt Paray To Yaad Ajati Hai Masnuiee Majboori,
Muddat Guzri Aek Waday Perr Ajj Bhi Qayam Hai Mohsin
Hum Nay Sari Umer Nibhaye, Apni Pehli Majboor_i.....
Tuesday, 20 November 2012
Jitna Bhi Uss Ko Sochon
Jitna Bhi Uss Ko Sochon
Utna Hi Door Paon
Jitna Bhi Uss Ko Chahon
Khud Hi Bikharti Jaon,
Mein Aam See Musafirr...
Bay Aas, Bay Sahara...
Woh Door Basney Wala Ekk Aasman Ka Tara
Mein Raet Sey Ulajhti..
Sahraon Ki Hawa Hoon
Woh Sahilon Pay Chalta...Bad e Saba Ka Jhonka
Haan Faraq To Bahot Hai
Par Baat Yeh Faqat Hai
Mein Lakh Toot Jaon
Khud Hee Se ROoth Jaon
Par Yeh Na Ho Gaa Mujh Se
Keh Mein Uss Ko Bhool Jaon
Saturday, 17 November 2012
Kuchh Raat Ki Aankhein
Kuchh Raat Ki Aankhien Bheegi Thein
Aor Chaand Bhi ROotha Rootha THa
Aor Dill Bhi Toota Toota THaa
Kiss More Pe Bichhrey Yaad Nahin
Honton Pe Koi Faryaad Nahin
Iss Waadey Ki Bhi Khabbar Nahien
So Sacha Tha Ya Jhoota Tha
Harr Lamha Aahein Bhartey Hain
Naa Jeetey Hain Naa Martey Hain
Bass Ekk Dua Ye Kartey Hain
Woh Laut K Waps Aajaye
Woh Laut K Waps Aajaye
Subscribe to:
Posts (Atom)