Friday, 28 December 2012

Bahishet Say He Mein Aai Zameen Par


Bahishet Se Hi Mein Aai Zameen Parr Lekin
Shumar Mera Nahin Aasmani Chezon Mein

Phir Aaya Bhoola Hua Khawab, Raat Mein Nainan
Likhi Hui Thee Purani Kahani Chezon Mein

Kabhi Saya Hai Kabhi Dhoop


Kabi Saya Hai, Kabhi Dhoop Muqadarr Mera
Hota Rehta Hai Younhi Qarz Braber Mera
Toot Jatey Hain Kabhi Mere Kinarey Mujh Mein
Doob Jata Hai Kabhi Mujh Mein Sumandar Mera

Woh Tujh Ko Bhooley Hain To


Woh Tujhko Bhooley Hain To Tujh Pay B Laazim Hai Meer
Khaak Daal, Aaag Lagga, Naam Naa Lay, Yaad Naa Karr

Tuesday, 18 December 2012

Tum Say Kehna Tha



Tum Sey Kehna Thaa

Tum Sey Kehna Thaa
Ekk Nazar Ki Fursatt Mein
Sateh e Dill Par Khill Uthhay

Lafz Bhi, Maani Bhi
Khamshi Ki Jhilmill Mein
Aag Bhi Thee, Paani Bhi
Dill Nay Dharknon Se Bhi
Jo Kahi Nahin Abhi Tak
Ann Kahi Kahani Bhi
Ann Kahi Kahani Mien
Aankh Bharr Tamana Thee
Haathh Bharr Ki Doori Par
Lams Bharr Ki Qurbat Thee
Lamha Bhar Ka Sapna Tha..!!

Ayoub Khawar

Thursday, 13 December 2012

Naye Dinnon Kay Naye Safar



Naey Dinon Kay Naey Safar Main,
Khamosh Chup Chaap,
Kuch Na Kehti,
In Sa’atoon Nay,

Saomp Daly Naey Taqazay Rafaqatoon Kay,
Dehan Rakhna,
Kay Apnay Hissay K Sab Taqazay Nibahny Hain,
Sath Chalty Huay Safar Main,
Har Ik Dagar Main,
Chahatoon Kay Ghulab Likhna,
Waraq Waraq Aetmad Jis Main,
Kharaf Kharaf Main Ho Jan Nisari,
Nai Khushiyan, Naey Manazir,
Nai Manazir Naey Khawalay,
Bas Aik Aisi Hi Muhabbatoon Ki Kitab Likhna,
Naey Dinon Kay Naey Safar Main….

Ab Orr Kiya Kisi Se Marasim



Ab Aor Kiya Kissi Se Marasim Barhain Hm
Yeh Bi Bahot Hai Tujh Ko Agr Bhool Jain Hm

Sehraye Zindagi Mein Koi Doosra Na Thaa
Suntey Rahey Hain Aap Apni Saddain Hm

Iss Zindagim Mein Itni Faraghat Kissey Naseeb
Itna Naa Yaad Aaa K Tujhey Bhool Jain Hm

To Itni Dilzadda To Na Thi Aaye Shab e Firaq
Aa Tere Rastey Mein Sittarey Luttain Hm

Ahmed Faraz

Wednesday, 5 December 2012

Yaad


Janey Kion
Barish Jab Bhi Hoi Hai
Merey Andar Teri Yaad..!!
Chupkey Chupkey Roi Hai...

Har Koi Dill Ki Hathaili Pe Hai


Harr Koi Dill Ki Hathaili Pe Hai Sahera Rakhey
Kiss Ko Sairaab Karey Woh Kissey Piyasa Rakhey

Umer Bharr Kon Nibhata Hai Ta'alluq Itna
Aey Meri Jaan K Dushman Tujhe Allah Rakhey


Hum Ko Acha Nahin Lagta Koi Hum Naam Tera
Koi TUjh Sa Ho To Phirr Naam Bhi Tujh Sa Rakhey

DIll Bhi Pagal Hai K Uss Shakhs Se Wabasta Hai
Jo Kissi Or Ka Honey Day Naa Apna Rakhey

Ye Qanaat Hai Ittaat Hai K Chahat Hai Faraz
Hum To Razi Hain Wo Jiss Haal Mein Jaisa Rakhey

Ahmed Faraz

Khuab Martey Nahin


Khawab Martey Nahin
Khuab Dill Hain Naa Aankhien Na Shaamein K Jo
Raiza Raiza Houey To Bikhar Jain Gey
Jism Ki MOut Se B Ye Marr Jain Gey
Khaab Martey Nahin,

Khaab To Roshni Hain Nawa Hain,
Hawa Hain,
Jo Kaley Paharon Se Ruktey Nahin,
Zulm K Dozakhon Se Bhi Phuktey Nahin,
Roshni Aor Nawa Aor Hawa K Allam,
Maqtalon Mein Pohnch Kar Bhi Jhuktey Nahin,
Khab To Harf Hain,
Khaab To Noor Hain,
Khaab Suqrat Hain,
Khaab Mansoor Hain
Ahmad Faraz

Friday, 30 November 2012

Aaye Chaand


Aye Chaand
Jab Woh Teri Taraf Daikhein
To Unhein Kuchh Yaad Dillana
Mudher Se Kuchh Geet Sunana
Aor Kehna...

Tumhein Koi Yaad Karta Hai
Teri Aarzoo, Teri Umeed Karta Hai
Koi Aaj Bhi
Tumhein Daikh Kar Eid Karta Hai

Kiss Nay Kaha Tujhe


Kiss Nay Kaha Tujhey K Anjaan Bann K Aaya Karr
Mere Dill Kay Aainey Mein Mehmaan Bann K Aaya Karr

Pagal Ekk Tujhe Hi To Bakhshi Hai Dil Ki Hakoomat
Ye Teri Saltanat Hai Tu Sultan Ban K Aaya Karr

Monday, 26 November 2012

Tammanaon Ki Neeli Chandni


Tammanaon Ki Neeli Chandni Mein
Kahan Ho Tum Hamari Zindagi Mein

Merra Photo Sajja Kamrey Mein Uss K
Yakka Yakk Ho Gai Kitni Badii Mein

Sawal Uss Ki Anna K Aa Rahey Thay
Jawaban Likh Diya Nainan Sabhi Mein

Duniya Ki Mehfilon Say Ukta Giya Hoon


Duniya Ke_i Mehfilon Say Uktta Giya Hoon Yaa Rab
Kiya Lutf Anjuman Ka, Jab Dill He Bujh Giya Ho

Firraq Mein Laztein Hain


Firraq Mein Laztein Hain Itni To Sochta Hoon
Wissal Uss Ka Naseeb Hoga To Kiya Baney Gaa

Jo Door Rah Kar Harrarat e Jaan Banna Hua Hai
Wo Shakhs Mere Qareeb Ho Gaa To Kiya Baney Gaa

Kion Naa Apni Khushi Ussey Daita


Kion Naa Apni Khushii Ussey Daita
Wo Bahot He Uddas Aaya Thaa
Merri Saans Ekk Amanat Thei
Mein Khudd Apna Nahin Praiya Thaa

Dill Mera Ekk Kitabb Ki Suratt


Dill Mera Ekk Kitabb Ki Surat
Jiss Mein Wo Hai Gulabb Ki Suratt
Mein Karri Dupahir Ki Tanhaie
Woh Shab e Mahtaabb Ki Suratt

Mujhe Mo'jzon Par Yaqeen Tha


Mujhey Mo'jzon Par Yaqeen Thaa
Tu Bicharr Giya, So Nahin Raha

Sunday, 25 November 2012

Ab Nazm Kahon Yaa..!!!


Woh Milney K Ahed o Paimaan
Sb Jhootey Nikley Aye Janan
Na Tum Aain, Na Piyar Kiya
Na Chahat Ka Izharr Kiya
Na Ruthey Dil Ko Shaad Kiya

Na Sapnon Ko Aabad Kiya
Ekk Pall Bhi Mujhey Naa Yaad Kiya
Kiya Khoob Mujhey Barbaad Kiya
Ekk Ahed e Muhabbat Tod Diya
Rahon Mein Mujhey Kion Chhod Diya
In Tootey Huey Armanon Ko
Unn Chaht K Afsanon Ko
Sb Bhool K Mujh Se Kehti Ho
Ekk Nazm Koi Mujh Prr Likh Do
Kiya Likhon, Kiya Naa Likhon
Kiya Hijar Ka Afsana Likhon
Ashkon Ki Kahani Likh Doon Kiya
Wehshat Ki Zabani Likh Doon Kiya
Harr Baat Purrani Likh Doon Kiya
Yaa Aag Ko Pani Likh Doon Kiya
Ho Zikar Tumhari Ulfat Ka
Ya Sirf Fasana Wehshat Ka
Kiya Naam e Wafa Ki Baat Kahon
Ya Jor O Jafa Ki Baat Kahon
Tum Ko Mahboob Likhon Ya Phir
Tum Ko He Aduo Keh DOon Aakhir
Likhon K Wafa Tum Sey Na Hui
Yaa Koi Khata Tum Sey Na Hui
Kuch Baat Muhabbat Ki Likh Doon
Keh Do To Haqeeqat He Likh Doon
Likh Doon K Rulaiya Hai Tum Ne
Haan, Kitna Sataya Hai Tum Ne
Furqat Mein Jalaiya Hai Tum Ne
Deewana Banaya Hai TUm Ne
Likh Doon Janon Ka Zaher Piya
Parr Tum Ko Kabhi Ruswa Na Kiya
Jo Zakham Milla, Seeney Pe Saha
Parr Haal e Janon Phirr B Na Kaha
Tum Se Na Shikayat Ki Mein Ne
Bay Laous Muhabbat Ki Mein Ne
Kis Dhang Se Ulfat Ki TUm Ne
Kis Rangg Se Chahat Ki Tum Ne
Ghairon Pe Enayat Ki Tum Ne
Apnon Se Adawat Ki Tum Ne
Haan, Nazar e Enayat Ki Tum Ne
Parr Baher Zaroorat Ki Tum Ne
Iss Nazam Ka Unwan Koi Nahin
Abb Dard Ka Darmaan Koi Nahin
Abb Chak Gireban Koi Nahin
Abb Hijr Se Nalan Koi Nahin
Sunn Pao To Haal e Dill Keh Doon
Ab Nazam Kaho..?
Yaa Rehne Doon...?

Faisal Wadood

Sakoon e Dil Na Raha



Sakoon e Dill Naa Raha Jab Wo Bezaban Thehrey
Khushi Khushi Naa Rahi Jab Wo Badguman Thehrey

Wo Bhi Ekk Waqt Tha, Bin Unkey Guzarta Hi Naa Tha
Yeh Bhi Ekk Waqt Hai, Lamhey Mujhey Sadian Thehrey

Tajahil Thaa Taghafal Thaa Raqabat Mein Jo Hail Thaa
Yeh Meri Badnaseebi Thi Wo Mere Raazdaan Thehrey

Mera Aks Aainey Mein Tha, Pass e Aainaa They Wo Khudd
Sarabb e Dasht Ki Manind Hamarey Darmiyan Thehrey

K Jin Ko Bhoolna Merey Laye Ekk Maarkah Saa Thaa
Jahan Jaon Nazar Aaye, K Jaisey Aasman Thehrey

Mujhey Bass Yaad Hai Itna Kinarey Parr He Doobey Thay
Keh Baad e Janib e Jaanaan He Merey Dushman Thehray

Woh Merey Zeesat K Lamhey Bazahir Chand Lamhey Thay
Magrr Mahsoos Hota Hai K Jaisey Ekk Zammann Thehrey

Yeh Aaghaz e Safar Thaa Aor Raqeeb Apney Baghal Mein Thaa
Yeh Merie Badnaseebi Thee, Woh Meer e Kaarwaan Thehrey

Muqeed Dasht e Qufs Hoon, Mera Siyyad Hai Sahera
Bujhaye Piyas Mere Aabla Paoin Jahan Thehrey

Abdul Mutlab Muqeed

Friday, 23 November 2012

Yeh Dill Ki Baat Hai Na



Yeh Dill Ki Baat Hai, Na Zamaney Ki Baat Hai
Jo Kuchh Hai ZIndagi Ko Nibahaney Ki Baat Hai

Mein TUjh Ko Yaad Karkey, Hamesha Hi Ro Diya
Aankhon Mein Ashkk Hain Jo Bahaney Ki Baat Hai


Gr Tum Ko Yeh Adda, Ye Muhabbat Burri Lagey
Kuchh Hum Se Darguzarr Ho, Deewaney Ki Baat Hai

Mousam Bhi Ho Suhana Kabhi, Wo Bhi Saathh Hoon
Hum Ko Bhi Yeh Patta Hai, Fasaney Ki Baat Hai

Hum Ko Jo Zindagi Nay Diya, Tum Se Kiya Kahein
Jo Tum Se Keh Diya To... Rullaney Ki Baat Hai

Yeh Kaisa Maykadda Hai, Yeh Hai Intezam Kiya
Peeney Ki Baat Hai, Na Pillaney Ki Baat Hai

Ghairon Mein Itna Damm Thaa Kahan Hum Se Poochhiey
Kuchh Zakham e Dill Hain, Tum Ko Dikhaney Ki Baat Hai

Kaisey Bataon Mein, Jo Kiya Tum Nay Hai Sitam
Kehney Ki Baat Hai, Na Dabbaney Ki Baat Hai

Lazim To Nahin Hai K, Khushi Ho TO Hansoon Mein
Kuchh Gham Hain, Jinhein Sb Se Chuppaney Ki Baat Hai

Woh Hm Se Keh Rahey Hain, Wafa Par Yaqeen Nahin
Yeh TO Shoaib Humko, Sattaney Ki Baat Hai

Alfaz K Jhootey Bandhan



Alfaaz Kay Jhootey Bandhann Mein
Aaghaz Kay Gaherey Pardon Mein
Harr Shakhs Muhabbat Karta Hai
Halankey Muhabbat Kuchh B Nahi
Sb Jhootey Rishtey Natey Hain

Sb Dill Rakhney Ki Baatein Hain
Kb Kon Kissi Ka Hota Hai
Sb Assli Roop Chhuppatey Hain
Ehsas Se Khali Log Yahan
Lafzon K Teer Chalatey Hain
Ekk Baar Nazar Mein Aa Kr Woh
Phirr Sari Umer Rullatey Hain
Yeh Ishq O Muhabbat Maher O Wafa
Yeh Sab Kehney Ki Batein Hain
Hrr Shakhs Khud Hi Ki Masti Mein
Bas Apni Khatir Jeeta Hai

Thursday, 22 November 2012

Chahat Mein Kiya Duniyadari



Chahat Mein Kiy_a Duniya Dar_i Ishq Mein Kais_i Majboori
Logon Kaa Kiya, Samjhaney Do, In Ki Apni Majboor_i,

Mein Nay Dil K_i Baat Rakhi Aur Tu Nay Duniya Waloon Ki
Meri Aarz Bhi Majboori Thee, Unn Kaa Hukam Bh_i Majboori,

Rok Sako To Pahli Barish Ki Bondon Ko Tum Rok_o
Kachi Mitti To Mehkay Gee, Hai Mitti Ki Majboor_i,

Jab Tak Hansta Gaata Mausam Apna Hai, Sab Apney Hain
Wakt Paray To Yaad Ajati Hai Masnuiee Majboori,

Muddat Guzri Aek Waday Perr Ajj Bhi Qayam Hai Mohsin
Hum Nay Sari Umer Nibhaye, Apni Pehli Majboor_i.....

Tuesday, 20 November 2012

Ishq Kamaona Aokha



Jhaliya..!
Ishq Kamana Aokha
Kissey Noon Yaar Banana Aokha
Piyar Piar Tay Har Koi Kookey
Kar Kay Piyar Nibhana Aokha

Harr Koi Dukhann Tay Hass Lainda
Kissey Da Dard Wandaona Aokha
Gallan Naal Nain Rutbay Millday
Jogi Bhais Watana Aokha
Koi Kissey Di Gall Nain Sunnda
Lokan Noon Samjhana Aokha

Bulhey Shah

Jitna Bhi Uss Ko Sochon



Jitna Bhi Uss Ko Sochon
Utna Hi Door Paon
Jitna Bhi Uss Ko Chahon
Khud Hi Bikharti Jaon,
Mein Aam See Musafirr...

Bay Aas, Bay Sahara...
Woh Door Basney Wala Ekk Aasman Ka Tara
Mein Raet Sey Ulajhti..
Sahraon Ki Hawa Hoon
Woh Sahilon Pay Chalta...Bad e Saba Ka Jhonka
Haan Faraq To Bahot Hai
Par Baat Yeh Faqat Hai
Mein Lakh Toot Jaon
Khud Hee Se ROoth Jaon
Par Yeh Na Ho Gaa Mujh Se
Keh Mein Uss Ko Bhool Jaon

Saturday, 17 November 2012

Kuchh Raat Ki Aankhein



Kuchh Raat Ki Aankhien Bheegi Thein
Aor Chaand Bhi ROotha Rootha THa
Aor Dill Bhi Toota Toota THaa
Kiss More Pe Bichhrey Yaad Nahin
Honton Pe Koi Faryaad Nahin

Iss Waadey Ki Bhi Khabbar Nahien
So Sacha Tha Ya Jhoota Tha
Harr Lamha Aahein Bhartey Hain
Naa Jeetey Hain Naa Martey Hain
Bass Ekk Dua Ye Kartey Hain
Woh Laut K Waps Aajaye
Woh Laut K Waps Aajaye