Tuesday, 4 February 2014

Suna Hai Bohat Sasta Hai Khoon Wahan Ka

Suna Hai Bohat Sasta Hai Khoon Wahan Ka

Ek Basti K Jise Log Kashmir Kehte Hain...

Suna Hai Bohat

Ek Lafz-e-Mohabbat Ka Adnaa Sa

Ek Lafz-e-Mohabbat Ka Adnaa Sa Fasaana Hai

Simtay To Dil-e-Aashiq, Phailay To Zamana Hai...

Ek Lafz-e-Mohabbat

Zindagi Be-Saibaan Be-Ghar Kahin Aisi Na Thi

Zindagi Be-Saibaan Be-Ghar Kahin Aisi Na Thi

Aasmaa Aisa Nahi Tha Aur Zamee Aisi Na Thi

Hum Bicharne Se Hue Gumrah Warna Is Se Qabal

Mera Daaman Tarr Na Tha Teri Jabeen Aisi Na Thi...

Zindagi Be-Saibaan

Mohabbat Khud Batati Hai Kahan Kis Ka Thikana Hai

Mohabbat Khud Batati Hai
Kahan Kis Ka Thikana Hai
Kise Aankhon Me Rakhna Hai
Kise Dil Me Basana Hai
Reha Karna Hai Kis Ko Aur
Kise Zanjeer Karna Hai
Mitana Hai Kise Dil Se
Kise Tehreer Karna Hai
Ise Maloom Hota Hai
Safar Dushwar Kitna Hai
Kisi Ki Chashm-e-Girya Me
Chupa Iqrar Kitna Hai
Shajar Jo Girne Wala Hai
Wo Saya Daar Kitna Hai
Mohabbat Khud Batati Hai
Kahan Kis Ka Thikana Hai...!

Mohabbat Khud Batati

Duaaen Karta Tha Ujjre Hue Mazaaron Pe

Duaaen Karta Tha Ujjre Hue Mazaaron Pe

Bare Ajeeb Sahaare Talaash Karta Tha

Bhulaaye Kon Aziyyat Pasandiyaan Us Ki

Khushi K Dher Me Sadmy Talash Karta Tha...

Duaaen Karta Tha

Monday, 3 February 2014